Mil hi jaye ga kabhi dil ko yakeen rehta hai..
Mil hi jaye ga kabhi..
Mil hi jaye ga kabhi dil ko yakeen rehta hai,
Woh isi sheher ki galiyon main kaheen rehta hai,
Jis ki saanson se mehekte thay dar-o-baam tere,
Ae makaan bol kahan ab woh makeen rehta hai,
Ik zamana tha ke sab aik jagah rehte thay,
Aur ab koi kaheen, koi kaheen rehta hai,
Roz milne pe lagta tha ke jagg beet gaye,
Ishq main waqt ka ehsaas nahin rehta hai,
Dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin,
Umar bhar kon jawaan kon haseen rehta hai..
Ahmad Mushtaq, Designed Shayari, Ghazal Shayari
November 14th, 2016