Baghdad nahin, misr nahin, shaam nahin hai..

Baghdad nahin, misr ..

Baghdad nahin, misr nahin, sham nahin hai,
Yeh kesi jagah hoon jahan kohraam nahin hai,

Tafteesh karo mujh se mere khawb ke baare,
Maloom karo kyun mujhe araam nahin hai,

Sayara ajab taish main aya hai dobara,
Aur dheyan rahe yeh koi ilhaam nahin hai,

Main us ka giriftar-e-kashish hoon to bura kya,
Yeh baat mujhe fakhar hai ilzaam nahin hai,

Main kar to raha hoon teri duniya ki hifazat,
Lekin main bata doon yeh mera kaam nahin hai,

Mumkin hai mere log use khawb main sun lain,
Ik naam jo filhal mera naam nahin hai,

Kuch roz main abaad karoon ga woh sitara,
Woh surkh sitara jo abhi aam nahin hai..


send poetry

Ali Zaryoun, Ghazal Shayari
October 11th, 2018

Comments are closed.

Ali Zaryoun
Ali Zaryoun
Poetries: 4
Separator
love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari