Paraayi neend main sone ka tajurba kar ke..

Paraayi neend main s..

Paraayi neend main sone ka tajurba kar ke,
Main khush nahin hoon tujhe khud main mubtila kar ke,

Yeh kyun kaha ke tujhe mujhse pyar ho jaye,
TaRrap utha hoon tere haq main baddua kar ke,

Main jootiyon main bhi betha hoon puray maan ke sath,
Kisi ne mujh ko bulaya hai iltijaa kar ke,

To phir woh rote huye manatain bhi maante hain,
Jo intiha nahin karte hain ibtidaa kar ke,

Bashar samajh kar kiya tha na yun mujhe nazar-andaz,
Le main bhi chorr raha hoon tujhe khuda kar ke,

Mana bhi loon ga, galay bhi lagaon main Ali,
Abhi to dekh raha hoon use khafa kar ke..


send poetry

Ali Zaryoun, Ghazal Shayari
October 16th, 2018

Comments are closed.

Ali Zaryoun
Ali Zaryoun
Poetries: 4
Separator
love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari