jurm -e- nakarda pe jab suli chaRrhayi gayi

jurm -e- nakarda pe ..

jurm -e- nakarda pe jab suli chaRrhayi gayi main
ibn -e- maryam ki tarah zinda uthayi gayi main

lene aye sabhi baRrh chaRrh ke balaa-en meri
ik tamasha saja, dulhan si sajayi gayi main

kabhi tezab chiRak kar mujhe sharmaya gaya
kabhi choolhe ki karamat se jalayi gayi main

bibi zahra ki ridaa aa paRri shanon pe mere
nange sar jab kabhi galiyon main ghumayi gayi main

hashr main ho ga mere hath girebaan tera
ae zamane tere hathon woh satayi gayi main


send poetry

Farah Gondal, Ghazal Shayari
March 30th, 2021

Comments are closed.

Farah Gondal
Farah Gondal
Poetries: 6
Separator
love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari