Tu ne dekha hai kabhi aik nazar shaam ke baad..

Tu ne dekha hai kabh..

Tu ne dekha hai kabhi aik nazar shaam ke baad..

Tu ne dekha hai kabhi aik nazar shaam ke baad,
Kitne chup chaap se lagte hain shajar shaam ke baad,

Itne chup chaap ke raste bhi rahen la-ilam,
ChoRr jayen ge kisi roz nagar shaam ke baad,

Maine aese hi gunah teri judayi main kiye,
Jaise tufan main koi choRr de ghar shaam ke baad,

Shaam se pehle woh mast apni uRranon main raha,
Jis ke hathon main thay toote huye par sham ke baad,

Raat beeti to gine aabley aur phir socha,
Kaun tha bayes-e-aghaaz-e-safar shaam ke baad,

Tu hai suraj tujhe maloom kahan raat ka dukh,
Tu kisi roz mere ghar main utar shaam ke baad,

Laut aye na kisi roz woh awara mizaaj,
Khol rakhte hain isi aas pe dar shaam ke baad..


send poetry

Designed Shayari, Farhat Abbas Shah, Ghazal Shayari
March 31st, 2019

Comments are closed.

Farhat Abbas Shah
Farhat Abbas Shah
Poetries: 37
Separator
love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari