Parinda qaid main qul aasman bhool geya..

Parinda qaid main qu..

Parinda qaid main qul aasman bhool geya..

Parinda qaid main qul aasmaan bhool geya,
Rihaa to ho geya lekin uRRan bhool geya,

Mere shikaar ko tarkash main teer laya magar,
Woh meri jaan ka dushman kamaan bhool geya,

Usay to yaad hai sara jahan mere siva,
Main us yaad main sara jahan bhool geya,

Woh shakhss zindagi bhar ka thaka hua tha magar,
Jo paaon qabar main rakhe thakaan bhool geya,

Ghareeb-e-shehr ne rakhi hai aabru warna,
Ameer-e-shehr to urdu zabaan bhool geya,

Tamam shehr ka naqsha banane wala raza,
Junoon-e-shauq main apna makaan bhool geya..

پرندہ قید میں کل آسمان بھول گیا - ہاشم رضا جلالپوری


send poetry

Designed Shayari, Ghazal Shayari, Hashim Raza Jalalpuri
April 3rd, 2017

One comment

  1. Ek ach’chi koshash urdu ki taraqqi k liye he

Comment here

Your Comment: