Akss hai ayina-e-dehr main surat meri..

Akss hai ayina-e-deh..

Akss hai aayina-e-dehr main surat meri,
Kuch haqeeqat nahin itni hai haqeeqat meri,

Dekhta main usay kyun-kar ke naqaab uThte hi,
Ban ke divaar khaRRi ho gayi hairat meri,

Roz woh khawb main aate hain gale milne ko,
Main jo sota hoon to jaag uThti hai qismat meri,

Sach hai ehsaan ka bhi bojh bohat hota hai,
Chaar phoolon se dabi jaati hai turbat meri,

Aayine se unhe kuch uns nahin baat yeh hai,
Chahte hain koi dekha kare surat meri,

Main yeh samjhoon koi mashooq mere hath aya,
Mere qaabu main jo aa jaye tabiyat meri,

Un se izhar-e-mohabbat jo koi karta hai,
Duur se us ko dikha dete hain turbat meri,

Jaate jaate woh yehi kar gaye takeed jaleel,
Dil main rakhiye ga hifazat se mohabbat meri..

عکس ہے آئینۂ_دہر میں صورت میری - جلیلؔ مانک پوری


send poetry

Designed Shayari, Jaleel Manikpuri
April 20th, 2017

Comment here

Your Comment: