Ajab asbab karta ja raha hoon..
Ajab asbab karta ja ..
Ajab asbab karta ja raha hoon,
Lahu seemab karta ja raha hoon,
Main apni mauj main ik raqss-e-digar,
Sar-e-girdab karta ja raha hoon,
Azal se jagti ankhon jahan main,
Basar ik khawb karta ja raha hoon,
Sar-e-mizhgan ubharta hai jo tara,
Usse mahtab karta ja raha hoon,
Jo dil ik umar se banjar paRre they,
Unhen sairab karta ja raha hoon,
Main rah-e-shauq ki har kankari ko,
Dur-e-nayab karta ja raha hoon,
Woh ejaz-e-sukhan bakhsha hai us ne,
ChaTtanen aab karta ja raha hoon..
Ghazal Shayari, Jalil Aali
October 28th, 2018