tumhara hijr manaya to main akela tha
tumhara hijr manaya ..
tumhara hijr manaya to main akela tha
junoon ne hashr uthaya to main akela tha
dayaar -e- khawb tha, tum they, tamam duniya thi
kisi ne aa ke jagaya to main akela tha
koi hussaini na nikla mere rafeeq-on se
dia bhuja ke jalaya to maine akela tha
tumhara hath nahin tha, woh mauj -e- girya thi
meri samajh main jab aya to main akela tha
dayaar -e- ghair gaya tha main khushi-yan lane ko
palaTt ke gaaon jab aya to main akela tha
kahan se ayi hai akhir teri talab mujh main
mujhe khuda ne banaya to main akela tha
Ghazal Shayari, Khalid Nadeem Shani
March 30th, 2021