Hansne wale ab aik kaam karen..
Hansne wale ab aik k..
Hansne wale ab aik kaam karen,
Jashn-e-girya ka ehtimaam karen,
Hum bhi kar len jo raushni ghar main,
Phir andhere kahan qayaam karen,
Mujh ko mehrumi-e-nazara qubool,
Aap jalve na apne aam karen,
Aa chalen us ke dar pe ab ae dil,
Zindagi ka safar tamaam karen,
Hath uthta nahin hai dil se khumar,
Hum unhen kis tarah sallam karen..
Designed Shayari, Ghazal Shayari, Khumar Barabankvi
January 31st, 2017