Kitabon mein phool rakhna Ranjish.com


Kitabon mein phool rakhna

Kitabon mein phool r..

kabhi kitabon mein phul rakhna
kabhi darakhton pe nam likhna
hamein bhi hai yad aj tak wo
nazar se harf-e-salam likhna

wo chand chehre wo behki baten
sulagte din the mehakti raten
wo chote-chote se kagzon par
muhabbaton k payam likhna

gulab chehron se dil lagana
wo chupke chupke nazar milana
wo arzuon k khwab bunna
wo qissa-e-natamam likhna

mere nagar ki hasin fizao
kahin jo un k nishan pao
to puchna ye kahan base ho
kahan hain un ka qayam likhna

gai ruton mein Hassan hamara
bas ek hi to ye mashgala tha
kisi k chehre ko subah kahna
kisi ki zulfon ko sham likhna


send poetry

Hassan Rizvi, Urdu Poets
August 31st, 2011

One comment

  1. Nazr ne Nazr ko Nazr bhar k dekha
    Nazr ko Nazr ki Nazr lag gae……….
    mudasir °3336985564

Comment here

Your Comment: