Ah Ko Chahiye Ik Umr Asar Hone Tak

Ah Ko Chahiye Ik Umr..

ah ko chahiye ik umr asar hone tak
kaun jita hai teri zulf k sar hone tak

dam har mauj mein hai halqa-e-sadkam-e-nahang
dekhen kya guzare hai qatre pe gauhar hone tak

ashiqi sabr-talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak

ham ne mana k taaful na karoge lekin
khak ho jayenge ham tum ko khabar hone tak


send poetry

Mirza Ghalib
July 20th, 2009

10 comment

  1. uae

  2. allah se dar te raho

  3. Aap ne likha hai
    ham ne mana k taaful na karoge lekin
    khak ho jayenge ham tum ko khabar hone tak
    Ye word taghaful hai na ki taaful.
    Aisi ghalati nahin honi chahiye.

  4. kamal hai yr

  5. Dear any one help me plz. I want to know mean of just single word.

    one line of this poetry is ( kon jeeta hai teri zulaf k [ SAR ] honay tak )

    Please tell me the mean of word SAR .

  6. Aap ko chaiye umar sar honey tak kon jeeta hai aap ke saye tak..you tagafl na kro ham se khaak hojayengy ham tum ko khabr honey tak …

  7. Most beautifull & awes0me ghazal of Dewan e Ghalib

  8. Sar means to achieve, to reach (summit for example). by wasim baba

  9. Aah Ko Chahea Ek Umer Asar Hone Tak
    Kon Jeta Hai Teri Zulf K Sar Hone Tak

    Hum Ne Mana Keh Tagafil Na Karo Gay
    Khak Ho Jain Gay Hum Tum Ko Khabar Hone Tak

  10. I like Gallib’s poetry

Comment here

Your Comment: