Gul ke hathon se lutaa kar karvaan apna..

Gul ke hathon se lut..

chali ab gul ke hathon

Chali ab gul ke hathon se lutaa kar kaarvaan apna,
Na chorra haaye bulbul ne chaman main kuch nishaan apna,

Yeh hasrat reh gayi kya kya maze se zindagi karte,
Agar hota chaman apna gul apna baghbaan apna,

Mera jee jalta hai us bulbul-e-bekass ki ghurbat par,
Ke jin ne aasray par gul ke chorra aashiyaan apna,

Jo tu ne ki so dushman bhi nahin dushman se karta hai,
Ghalat tha jante they tujh ko jo hum meherbaan apna..


send poetry

Designed Shayari, Mirza Mazhar Jan-e-Janan
October 4th, 2016

Comment here

Your Comment: