Kabootron ko uRrata hoon aur dekhta hoon..

Kabootron ko uRrata ..

kabootron ko uRrata hoon aur dekhta hoon,
fazaa ka husn baRhata hoon aur dekhta hoon,

yeh ankh muft main kuch bhi nahin dikhati mujhe,
main is ko khawb dikhata hoon aur dekhta hoon,

sunayi deta hai kis kis ko kon sunta hai,
gali main shor machata hoon aur dekhta hoon,

kabhi main pochta rehta tha kon hai dar par,
aur ab main doRr ke jata hoon aur dekhta hoon,

dhamaal dalne ata hai roz aik malangg,
main roz dekhne jata hoon aur dekhta hoon,

suna hai maut madawa hai zeest ke gham ka,
ruko main jaan se jata hoon aur dekhta hoon,

hayaa se kaise badalti hai rangat-e-rukhsar,
main us ko sher sunata hoon aur dekhta hoon,

kashish neend main zeyada hai asmaan main kam,
hawaa main khaak uRrata hoon aur dekhta hoon,

jo shakhss pyar ka munkir hai samne aaye,
main us se ankh milata hoon aur dekhta hoon..


send poetry

Ghazal Shayari, Mumtaz Gurmani
February 11th, 2021

Comments are closed.

Mumtaz Gurmani
Mumtaz Gurmani
Poetries: 3
Separator
love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari