Apna gham le ke kahin aur na jaya jaye..

Apna gham le ke kahi..

nida fazli poetry

Apna gham le ke kahin aur na jaya jaye,
Ghar main bikhri hui cheezon ko sajaya jaye,

Jin charaaghon ko hawaon ka koi khauf nahin,
Un charaaghon ko hawaon se bachaya jaye,

Khud-kushi karne ki himmat nahin hoti sab main,
Aur kuch din abhi auron ko sataaya jaye,

Baagh main jaane ke adaab hua karte hain,
Kisi titlee ko na pholoon se urraaya jaye,

Kya hua sheher ko kuch bhi to dikhayi de kahin,
Yuun kiya jaye kabhi khud ko rulaaya jaye,

Ghar se masjid hai bohat door chalo yuun kar len,
Kisi rotay huye bache ko hansaaya jaye..


send poetry

Designed Shayari, Ghazal Shayari, Nida Fazli
October 31st, 2016

Comment here

Your Comment: