Sundar, komal sapnon ki baraat guzar gayi jaana..

Sundar, komal sapnon..

Sundar, komal sapnon ki baraat guzar gayi jaana,
Dhoop ankhon tak aa pohanchi hai, raat guzar gayi jana,

Bhanwar samay tak jis ne humain baaham uljhaaye rakha,
Woh albeli resham aesi baat guzar gayi jaana,

Sadaa ki dekhi raat humain is baar mili to chupkay se,
Khaali hath pe rakh ke kya soghaat guzar gayi jaana,

Kis kompal ki aas mein ab tak wese hi sarsabz ho tum,
Ab to dhoop ka mausam hai, barsaat guzar gayi jaana..


send poetry

Parveen Shakir
March 11th, 2014

Comment here

Your Comment: