Sher ka soona chaman kuch aur khali ho geya..
Sher ka soona chaman..
Sher ka soona chaman kuch aur khali ho geya,
Haye kese shakhss se indor khali ho geya,
Sarhadon ke is taraf bhi us ki rahat thi bohat,
Aesa lagta hai mera lahore khali ho geya,
Kesi kesi ronaqen thi us ke ik ik sher main,
Ik zamana gum hua, ik daur khali ho geya,
Poochte hain ab ghazal-abad ke deewar-o-dar,
Yeh bhara ghar kis tarah fil-for khali ho geya..
Ghazal Shayari, Rehman Faris, Video Shayari
August 15th, 2020