Daulat ke jo nashe main yahan choor ho gaye..

Daulat ke jo nashe m..

Daulat ke jo nashe main yahan choor ho gaye,
Woh log manzilon se bohat door ho gaye,

Duniya hamare naam ko pehchanti naheen,
Hum to tumhare naam se mashoor ho gaye,

Kal shaam ki teri yaad ki aesi hawaa chali,
Jitne bhi gham qareeb thay sab door ho gaye,

Yeh kya hua ke sheher ka manzar badal gaya,
Jitne bhi thay charagh woh be-noor ho gaye,

Din raat hum kisi ke tasawur main khoye hain,
Duniya samajh rahi hai ke maghroor ho gaye,

Lo aaj jang hum ne mohabbat ki jeet li,
Hum un ko aur woh humen manzoor ho gaye..


send poetry

Ghazal Shayari, Saba Balrampuri
February 8th, 2021

Comments are closed.

Saba Balrampuri
Saba Balrampuri
Poetries: 5
Separator
love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari