Jab kabhi un ki tawajjoh mei kammi paayi gayi..

Jab kabhi un ki tawa..

Jab kabhi un ki tawajjoh mei kammi paayi gayi,
Az-sar-e-nau daastaan-e-shauq dohraayi gayi,

Bik gaye jab tere lab phir tujh ko kya shikwa agar,
Zindgaani baada o saaghar se behlaayi gayi,

Ae gham-e-duniyaa tujhe kya ilm tere vaaste,
Kin bahaanon se tabiyat raah main laayi gayi,

Hum karen tark-e-wafaa acha chalo yuun hi sahi,
Aur agar tark-e-wafaa se bhi na ruswaayi gayi,

Kaise kaise chasm o aariz gard-e-gham se bujh gaye,
Kaise kaise paikaron ki shaan-e-zebaayi gayi,

Dil ki dharrkan me tavaazun aa chala hai khair ho,
Meri nazren bujh gayi.n yaa teri ranaayi gayi,

Un ka gham un ka tasavvur un ke shikwe ab kahan,
Ab to yeh baaten bhi ae dil ho gayin aayi gayi,

Jurat-e-insaan pe go taadeeb ke pehre rahe,
Fitrat-e-insaan ko kab zanjeer pehnaayi gayi,

Arsaa-e-hastii mei ab tesha-zanon kaa daur hai,
Rasm-e-changezi uthii tauqeer-e-daaraayi gayi..


send poetry

Sahir Ludhianvi
April 16th, 2012

Comment here

Your Comment: