Mohabbat kis ko kehte hain, adavat kis ko kehte hain..

Mohabbat kis ko keht..

Mohabbat kis ko kehte hain, adawat kis ko kehte hain,
BichaRr kar tum se jana hai, qayamat kis ko kehte hain,

Isi zid main utri hoon, qayamat-khez lehron main,
Ke dekhoon gi mohabbat main karamat kis ko kehte hain,

Zamana puchta kuch hai, bata doon aur hi kuch main,
Tumhi se maine seekha hai wazahat kis ko kehte hain,

Abhi khamosh bethi hoon magar main waqt paRrne par,
Zamane ko bata doon gi baghawat kis ko kehte hain,

Hazaron dard seh kar bhi yeh dete hain duaa sab ko,
Ke ehl-e-ishq se seekho, sakhawat kis ko kehte hain..


send poetry

Ghazal Shayari, Tehmina Rao
October 29th, 2018

Comments are closed.

Tehmina Rao
Tehmina Rao
Poetries: 3
Separator
love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari