Sitaare ki tarah tooti hui hoon

Sitaare ki tarah too..

zameen par is liye hi aa giri hoon
sitaare ki tarah tooti hui hoon

main khud ko maarne pe tul chuki thi
main khud se bhaag kar zinda bachi hoon

duhaayi de raha hai mera malba
main teri ankh main bikhri paRri hoon

mujhe taskheer karna tha zamana
main apne hi muqabil aa gayi hoon

teri surat nigahon main bassi hai
main duniya main tujhi ko dekhti hoon


send poetry

Ghazal Shayari, Tehmina Rao, Video Shayari
March 27th, 2021

Comments are closed.

Tehmina Rao
Tehmina Rao
Poetries: 3
Separator
love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari