Badlaa liya hasrat-e-izhaar se hum ne..

Badlaa liya hasrat-e..

Badlaa liya hasrat-e-izhaar se hum ne,
Aaghaaz kiya apne hi inkaar se hum ne,

Darwaza nahin apne sarokaar me shaamil,
Hai raabta rakhaa hua deewaar se hum ne,

Imkaan sa khola hua saahil ki hawaa pr,
Umeed si baandhi hui us paar se hum ne,

Apnii hi bigaarri hui suurat ke ilaawa,
Kuch aur nikaala nahin tuumaar se hum ne,

Iss ka bhi koi fayeda pohancha na kisi ko,
Aasaan jo baraamad kiya dushwaar se hum ne,

Manzil jo hamari thi kahin reh gai peeche,
Yeh kaam liyaa tundi-e-raftar se hum ne,

Yeh dhoop hi thi apni guzargaah so rakha,
Ik faasla bhi saaya-e-ashjaar se hum ne,

Jaancha hai kissi aur tareeqe se yeh sab kuch,
Parkha hai kisi apne hi meyaar se hum ne,

Uss ki bhi adaa ke hai “zafar” aaj to qeemat,
Jo cheez khareedi nahin bazaar se hum ne..


send poetry

Zafar Iqbal
September 6th, 2014

Comment here

Your Comment: