Socha tha ab na laut key aain gey hum kabhi.
Socha tha ab na laut key aain gey hum kabhi..
Awaz di kisi ney majboor ho gaye!!
Socha tha ab na laut key aain gey hum kabhi..
Awaz di kisi ney majboor ho gaye!!
Sach to ye hai key mein her bazm mein tanha raha.!!
Youn mgar pas meray kab nahi hota koi..
Husn lo to fasal-e-gul ki tamana na ker sako!
Jo dasta’n kehtay hein patey jhartey huay..
Yaha’n ehal-e-dil toot’ain gey nahi to
Be-wafa’on ko aram kesay aye ga
Wo awara mizaj kahin door ja basa hai
Aab meri saada’on per kesay aaye ga
Saans’on mein basa hai yaad’on ki surat
Per is ko yakeen kesay aaye ga
Mein is ko kab ka bhol gaya hota ‘Gul’
Masla is dil ka hai is ko qarar kesay aaye ga
So rang bharey is mein bhi aaj ye rahi morat…
Ehsas tasawor mein, tasweer gada-gar hai!
Sabhi ko apney gham hotey hein lekin.!
Mujhey jo ghum hai wo mera nahi hai..
Samney kitni sabeel’ain hein paye be-gehni.!
Aaj lakht-e-dil maryam bhi nahi sath apney..
Sar uthaney ka bhala aur kisy yara tha..
Bas teray shehar mein ye rasm ada hum sey hui!
Safar hai us ka bulandi sey pasti’yon ki taraf..
Agar na shor machaye to kia karey dariya!
Sapney bechney aa nikley ho lekin daikh to lo.!
Duniya key bazaar mein un ki qemat kitni hai..
admi bulbula hai pani ka
kia bharosa hai zindagani ka
agar ho sakey to aa ker milo
kia hai is saans ani jani ka
agar tum laut aao to ‘Gul’
anchal sambhal lena shani ka.
Socha tha meray dukh ka madawa karei’n gey kuch..
Wo pursish-o-malal sey agey nahi gaye..!
Sochtey kiun nahi tum daikh key weera’n ankh’ein..?
Hum ney bhi dil mein koi shehar basaya ho ga..
Sun key mujh sey fasan-e-gham-e-dil!
Aap bhi gham zada na ho jana..
Samander hai meri takhleeq lekin..
Mein qatra hun uchalna chahta hun.!