sabzz baaghon ki virasat ka baRa fayeda hai

sabzz baaghon ki vir..

sabzz baaghon ki virasat ka baRa fayeda hai

sabzz baaghon ki virasat ka baRa fayeda hai
hum faqeeron ko aqeedat ka baRa fayeda hai

ik bhale shakhss ne hum par yeh haqeeqat kholi
hum samajhte thay mohabbat ka baRa fayeda hai

log to aag lagane se kamaa lete hain
kuch ko nafrat ki tijarat ka baRa fayeda hai

khud ko dikhte hain na auron ko nazar aate hain
hum ko is nuqs e basaarat ka baRa fayeda hai


send poetry

Babur Ali Asad, Designed Shayari, Ghazal Shayari
January 28th, 2022

Comments are closed.

Babur Ali Asad
Babur Ali Asad
Poetries: 2
Separator
love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari