Hafeez Hoshiarpuri
Ranjish.com has lots of Urdu Hafeez Hoshiarpuri Poetry. Feel free to add your own Hafeez Hoshiarpuri Shayari here.Hafeez Hoshiarpuri Collection
Hafeez Hoshiarpuri 1912-1973 |
Hafeez Hoshiarpuri lived his life in Karachi. He was known for his super hit song “mohabat karne waale kam na hon ge, teri mehfil me lekin hum na hon ge”.
Ranjish.com is the best place to find Hafeez Hoshiarpuri Poetry.
Dosti aam hai lekin ae dost..
Hafeez Hoshiarpuri
Dosti aam hai lekin ae dost,
Dost milta hai bari mushkil se..
Mohabbat karne wale kam na hon ge..
Hafeez Hoshiarpuri
Mohabbat karne wale kam na hon ge,
Teri mehfil main lekin hum na hon ge,
Zamane bhar ke gham ya ik tera gham,
Yeh gham na ho ga to kitne gham na hon ge,
Agar tu itifaaqan mil bhi jaaye,
Teri furqat ke sadme kamm na hon ge,
Dilon ki uljhanen barrhti rahen gi,
Agar kuch mashwre baaham na hon ge,
Hafeez un se main jitna bdgumaan hoon,
Woh mujh se is qadar barhamm na hon ge..
Jee khol ker dekha jaye
Hafeez Hoshiarpuri
aj unhen kuch is tarah ji khol kar dekha kiye
ek hi lamhe mein jaise umr bhar dekha kiye
dil agar betab hai dil ka muqaddar hai yahi
jis qadar thi ham ko taufiq-e-nazar dekha kiye
khudfaroshana ada thi meri surat dekhna
apne hi jalwe ba-andaz-e-digar dekha kiye
nashanas-e-gam faqat dad-e-hunar dete rahe
ham mata-e-gam ko ruswa-e-hunar dekha kiye
dekhne ka ab ye alam hai koi ho ya na ho
ham jidhar dekha kiye pehron udhar dekha kiye
husn ko dekha hai main ne husn ki khatir ?Hafeez?
warna sab apna hi mear-e-nazar dekha kiye
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Hafeez Hoshiarpuri.