Munir Niazi
Ranjish.com has lots of Urdu Munir Niazi Poetry. Feel free to add your own Munir Niazi Shayari here.Munir Niazi Collection
Munir Niazi 1928-2006 |
Munir Niazi was born in Khanpur to the Niazi tribe. “Taiz Hawa Aur Tanha Phool” was his most popular book although “Jungle mein Dhanak”, “Dushmanoon Kai Darmiyan Sham” and “Mah-e-Munir” also did quite well all over the world.
We bring you the best Munir Niazi Poetry right here at one place.
Mohabbat ab nahin hogi..
Munir Niazi
Mohabbat ab nahin hogi,
yeh kuch din baad main hogi,
sitare jo damakte hain,
kisi ki chashm-e-hairan main,
mulaqaten jo hoti hain jamal-e-abr-o-baraan main,
ya na-abaad waqton main dil-e-nashad main hogi,
mohabbat ab nahin hogi,
yeh kuch din baad main hogi,
guzar jayen ge jab yeh din,
yeh un ki yaad main hogi,
mohabbat ab nahin hogi..
Mohabbat ab nahin hogi..
Munir Niazi
Mohabbat ab nahin hogi,
Sitare jo damakte hain
Kisi ki chashm-e-hairaan main
Mulaqatain jo hoti hain
Jamal-e-abr-o-baaraan main
Ya naa-abad waqton main
Dil-e-nashaad main hogi
Muhabbat ab nahi hogi
Yea kuch din bad main hogi
Guzar jaein gay jab yeh din
Yeh un ki yaad main hogi
Mohabbat ab nahin hogi..
Yeh kesa nasha hai main kis ajab khumar main hoon..
Munir Niazi
Yeh kesa nasha hai main kis ajab khumar main hoon,
Tu aa ke ja bhi chuka hai main intezar main hoon,
Makaan hai qabar jise log khud banate hain,
Main apne ghar main hoon ya main kisi mazaar main hoon,
Dar-e-faseel khula ya pahaRR sar se haTta,
Main ab giri hui galiyon ke marg-zar main hoon,
Bas itna hosh hai mujh ko ke ajnabi hain sab,
Ruka hua hoon safar main kisi dayaar main hoon,
Main hoon bhi aur nahin bhi ajeeb baat hai yeh,
Yeh kesa jabr hai main kis ke ikhtiyar main hoon,
Munir dekh shajar chaand aur deewaren,
Havaa khizaan ki hai sar par shab-e-bahaar main hoon..
Adab ki baat hai warna munir socho to..
Munir Niazi
Shikwa karen to kis se shikayet karen to kya..
Munir Niazi
Shikwa karen to kis se shikayet karen to kya,
Ik raayegaan amal ki reyazat karen to kya,
Jis sheyy ne khatam hona hai akhir ko aik din,
Us sheyy ki itne dukh se hifazat karen to kya,
Maani nahin munir kisi kaam main yahan,
Itaat karen to kya, baghaawat karen to kya..
Meri saari zindagi ko be-samar us ne kiya..
Munir Niazi
Meri saari zindagi ko be-samar us ne kiya,
Umar meri thi magar us ko bassar us ne kiya,
Main bohat kamzor tha us mulk main hijrat ke baad,
Pr mujhe us mulk main kamzor-tar us ne kiya,
Sheher main woh moatbar meri gawaahi se hua,
Phir mujhe uss sheher main na-moatbar us ne kiya,
Sheher ko barbaad kar ke rakh diya us ne munir,
Sheher pr yeh zulm mere naam pr us ne kiya..
Laazim nahin ke us ko bhi mera khayal ho..
Munir Niazi
Laazim nahin ke us ko bhi mera khayal ho,
Mera jo haal hai wohi uss ka bhi haal ho,
Koi khabar khushi ki kahin se mile munir,
Iss roz-o-shab main aesa bhi ik din kamaal ho..
Qaid main hoon rihaa nahin karta..
Munir Niazi
Aayina ab juda nahin karta,
Qaid main hoon rihaa nahin karta,
Mustaqil sabr main hai koh-e-giraan,
Naqsh-e-ibrat sadaa nahin karta,
Rang-e-mehfil badalta rehta hai,
Rang koi wafaa nahin karta,
Aish-e-duniya ki justjuu mat kar,
Yeh dafeena mila nahin karta,
Jee main aaye jo kar guzarta hai,
Tu kisi ka kahaa nahin karta,
Ek waaris hamesha hota hai,
Takht khaali raha nahin karta,
Ehd-e-insaaf aa raha hai munir,
Zulm daaayem raha nahin karta..
Ranj-e-firaaqt-e-yaar main ruswaa nahin hua..
Munir Niazi
Ranj e firaaq e yaar main ruswaa nahin hua,
Itna main chup hua ke tamasha nahin hua,
Aesa safar hai jis main koi hamsafar nahin,
Rasta hai is tarah ka ke dekha nahin hua,
Mushkil hua hai rehna humen iss dayaar main,
Barson yahan rahe hain yeh apnaa nahin hua,
Woh kaam shah-e-sheher se ya shehr se hua,
Jo kaam bhi hua yahan acha nahin hua,
Milna tha aik bar usay phir kahin munir,
Aesa main chahta tha pr aesa nahin hua..
Khawb hote hain dekhne ke liye..
Munir Niazi
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Munir Niazi.