Ahmad Kamal
Ranjish.com has lots of Urdu Ahmad Kamal Poetry. Feel free to add your own Ahmad Kamal Shayari here.Ahmad Kamal Collection
Ranjish.com is the best place to read and enjoy Ahmad Kamal Poetry.
Har ghar se janaza sa utha ho jaise
Ahmad Kamal
ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise
shahar ka shahar hi aseb zada ho jaise
rat ke pichle pahar ati hain avazain si
dur shahara main koi chiKh raha ho jaise
dar-o-divar pe chai hai udasi aisi
aj har ghar se janaza sa utha ho jaise
muskurata hun pa-e-Khatir-e-ahabab magar
dukh to chehre ki lakiron pe saja ho jaise
ab agar dub gaya bhi to marunga na ?Kamal?
bahte pani pe mera nam likha ho jaise
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ahmad Kamal.