Saghar Siddiqui

Ranjish.com has lots of Urdu Saghar Siddiqui Poetry. Feel free to add your own Saghar Siddiqui Shayari here.

Saghar Siddiqui Collection

Saghar Siddiqui
1928-1974

Saghar Siddiqui was a famous urdu poet from Pakistan. He lived a ruined and homeless life all by himself. He died on in 1974.
We have huge collection of Saghar Siddiqui poetry for our users to enjoy. Users can now send Saghar Siddiqui poetry to their friends as SMS.



Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin..

Saghar Siddiqui

Hai dua yaad magar harf-e-duaa yaad nahin,
Mere naghmaat ko andaz-e-nava yaad nahin,

Main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di hai,
Main woh sayel hoon jise koi sadaa yaad nahin,

Main ne jin ke liye rahon main bichaya tha lahuu,
Hum se kehte hain wohi, ehd-e-wafa yaad nahin,

Kaise bhar aayin sar-e-sham kisi ki ankhen,
Kaise thehrayi charaghon ki ziya yaad nahin,

Sirf dhundhlaye sitaron ki chamak dekhi hai,
Kab hua kaun hua kis se khafa yaad nahin,

Zindagi jabr-e-musalsal ki tarah kaaTi hai,
Jaane kis jurm ki payi hai saza yaad nahin,

Aao ik sajda karen alam-e-madhoshi main,
Log kehte hain ke saaghar ko khuda yaad nahin..

ہے دعا یاد مگر حرف دعا یاد نہیں - ساغر صدیقی



Yeh jo deewane se do chaar nazar aate hain..

Saghar Siddiqui

Yeh jo deewane se do chaar nazar aate hain,
In main kuch saahab-e-asraar nazar aate hain,

Teri mehfil ka bharam rakhte hain so jaate hain,
Warna yeh log to bedaar nazar aatey hain,

Door tak koi sitaara hai na koi jugnuu,
Marg-e-umeed ke asraar nazar aate hain,

Mere daaman main sharaaron ke siwa kuch bhi nahin,
Aap phoolon ke khareedaar nazar aate hain,

Kal jisse chhu nahin sakti thi fariston ki nazar,
Aaaj woh ronaq-e-bazaar nazar aate hain,

Hashr main kon gawaahi meri de ga saaghar,
Sab tumhare hi tarfdaar nazar aate hain..

Watch Video



Aye dil-e-beqaraar chup ho ja..

Saghar Siddiqui

Aye dil-e-beqaraar chup ho ja,
Jaa chuki hai bahaar chup ho ja,

Ab na aayen ge roothne wale,
Deeda-e-ashk-baar chup ho ja,

Jaa chuka karvaan e laal-o-gul,
Urr raha hai ghubaar chup ho ja,

Chhuut jaati hai phool se khushbuu,
Rooth jaate hain yaar chup ho ja,

Hum faqiron ka iss zamaane mei,
Kaun hai gham-gusaar chup ho ja,

Haadson ki na aankh khul jaaye,
Hasrat-e-sogvaar chup ho ja,

Geet ki zarb se bhi ae Saghar,
Toot jaate hain taar chup ho ja..



Baat phoolon ki suna karte they..

Saghar Siddiqui

Baat phoolon ki suna karte they,
Hum kabhi sher kaha karte they,

Mish-alen le ke tumhare gham ki,
Hum andheron me chala karte they,

Ab kahan aisi tabiyat vaale,
Chott khaa kar jo jua karte they,

Tark -e- ehsaas-e-mohabbat mushkil,
Haan magar ehl-e-wafaa karte they,

Bikhri bikhri hui zulfon vaale,
Qaafile rok liya karte they,

Aaj gulshan me shagufay “saghar”,
Shikva e baad-e-sabaa karte they..



Aahan ki surkh taal pe ham raqss kar gaye.

Saghar Siddiqui

Aahan ki surkh taal pe ham raqss kar gaye,
Taqdeer teri chaal pe hum raqss kar gaye,

Panchhii bane to rifat-e-aflaak par urre,
Ehl-e-zameen ke haal pe ham raqss kar gaye,

Kaanton se ehtijaaj kiya hai kuch is tarah,
Gulshan kii ddaal ddaal pe hum raqss kar gaye,

Vaayez fareb-e-shoq ne hum ko lubhaa liya,
Firdous ke khayaal pe ham raqss kar gaye,

Har aitbar husn-e-nazar se guzar gaye,
Har halqa-e-haa-e-jaal pe ham raqss kar gaye,

Maanga bhi kya to qatra-e-chashm-e-tasarufaat,
Saaghar tere sawaal pe hum raqss kar gaye..



Kab torro ge hijar ke bandhan, Kab tak parda’dar raho ge..

Saghar Siddiqui

Kab torro ge hijar ke bandhan, Kab tak parda’dar raho ge,
Kab is dil ke saaz mein sajan, tum ban ke jhankar raho ge,

Kab tak behlao ge, meri bhooli bhatki nazron ko,
Kab tak meri raah mein ban kar sheeshey ki deewar raho ge,

Subah ka madham taara ban kar, mein aaaon ga tum se milney,
Bolo kya manzoor hai tum ko, bolo kya tayyaar raho ge,

Is baagh-e-hasti mein sab ke apne apne manssab hain,
Hum phoolon ka rang rahen ge, Tum hanjjar ki dhaar raho ge,

Jaan-e-tammana! apne Saghir ko batlao, ankh mila kar,
Us ke haq mein akhir kab tak, Kafir ka inkaar raho ge..



log letey hain yon hi shamma or parwaney ka naam..

Saghar Siddiqui

log letey hain yon hi shamma or parwaney ka naam,
Kuch nahi hai is jahan me ghum kay afsaney ka naam..



Phool chahey they magar hath me aye pathar..

Saghar Siddiqui

Phool chahey they magar hath me aye pathar,
Hum ney aghosh e mohabbat me sulaye pathar..



Bhooli hoi sada hun mujhey yad kijiye..

Saghar Siddiqui

Bhooli hoi sada hun mujhey yad kijiye,
Tum sey kahien mila hun mujhey yad kijiye..



Hum ghareeb ki surat pe na ja..

Saghar Siddiqui

Hum ghareeb ki surat pe na ja,
Hidmat-e-aadmi ke mujrim hain..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Saghar Siddiqui.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari