Father Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Father Shayari Poetry. Feel free to add your own Father Shayari Shayari here.Father Shayari Collection
Fathers are the first heroes we see in our childhoods. This section is dedicated to Fathers Poetry or Father Shayari as known in south asian community all around the world.
Paiker tha wafaa ka..Fathers Poetry.
Father Shayari
Paikar tha wafa ka, mohabbat ka khuda tha,
Woh shakhss zamaney mein sab se hi juda tha,
Chahat ke khazaney they har lafz mein us ke,
Daaman mera us ne duaaon se bhar tha,
Mujh ko nahin dekha karri dhoop ne chu kar,
Baba mera duniya main mujhe aesa jo mila tha,
Fikrain na zamaney ki kabhi paas bhi ayin,
Hard dard meri hasti se dartaa hi raha tha,
Jab taka raha saanson ka basera mere baba,
Tab tak main ghamon se bachta hi raha tha,
Us shaam ki hiddat mere dil se nahin jati,
Jis shaam tera saaya mere sar se utha tha..
Paikar tha wafa ka Muhabat ka Khuda tha !
Father Shayari
Paikar tha wafa ka Muhabat ka Khuda tha !
Wo shahks zamany sa sab sa hi juda tha
Chaahat kay hazanay thay har lafz main us kay
Daaman mera us na duaoon sa bhara tha
Mujh ko naheen dekha us na karhee dhoop sa choo kar
Baba mere duniya main mujhe aisa jo mila tha
Fikrain na zamanay ki kabhi pass bhi aeen !
har dard meri hasti sa darta hi raha tha
Jab tak saansoon ka basaira mere baba
Tab tak main ghamoon sa bachta hi raha tha
Us shaam ki hiddat meray dil sa naheen jaati
Jis shaam tera saya meray sar sa utha tha
Yeh Baat Sach Hai Mera Baap Kam Na Tha Maan Se..
Father Shayari
Azeeztar woh mujhe rakhta tha ragg-e-jaan se,
Yeh baat sach hai mera baap kam na tha meri maan se,
Woh maan ke kehne pe kuch raub mujhpe rakhta tha,
Yehi wajah thi mujhe choomtey jhijhakta tha,
Woh aashnaa mere har karb se raha har dum,
Jo khul ke ro nahin paya magar sisakta tha,
Jurri thi uski har ek haan faqat meri haan se,
Yeh baat sach hai mera baap kam na tha meri maan se,
Har ek dard woh chup chaap khud pe sehtaa tha,
Tamaam umar woh apnon se katt ke rehta tha,
Woh laut’ta tha raat der tak din bhar,
Wajood uska paseeney mein thall ke behta tha,
Giley they mujhe phir bhi aese chaak-daama se,
Yeh baat sach hai mera baap kam na tha meri maan se,
Purana suit pehenta tha kam woh khaata tha,
Magar khiloney mere sab khareedta tha,
Woh mujh ko soye huye dekhta tha jee bhar ke,
Na jane soch ke kya kya woh muskuraata tha,
Mere bagher they sab khawb us ke wiraan se,
Yeh baat sach hai mera baap kam na tha meri maan se..
Wo lafz dhoond raha tha larazte honton se..
Father Shayari
Wo lafz dhoond raha tha larazte honton se,
Zaeef baap ne bete se baat kar li hai…
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Father Shayari.