Shadi Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Shadi Shayari Poetry. Feel free to add your own Shadi Shayari Shayari here.

Shadi Shayari Collection

Shadi Shayari is poetry on wedding and marriage. We bring you the best Wedding Poetry in Urdu. This page contains Wedding Poetry in both urdu and english language. So surprise your life partner by sending them these lovely wedding poetrys.



Tikti nahin nazar ke ussay dekhun nazar bhar..

Shadi Shayari

Rach gayi khushbu mein gul-andaam*, saman brr*,
Tikti nahin nazar ke ussay dekhun nazar bhar,
Woh husn-e-saraapa ke pairaahan* bhi itraaye,
Jo rkhy sahj sahj* ke qadam mehkay reh-guzar,
Munaqqash* dhaari daar aanchal ki aarr se,
Jhaank raha hai tera rukh-e-mo’tabarr*,
Teri chaand soorat dekh dekh toot rhe hain,
Taaro’n ko chamaknay ka nahin waqt moyassar,
Chaman ke sbhi phool tujhy dekh kr kahen,
Hum se bhi ziyaada hasee’n? Hairat hai sara-srr,
Zidd kar raha hai chaand in palko’n mein rehny ki,
In surmagee’n* aankhon ki siyaahi ko dekh kar,
Tu ne kaha jis dil-kashi se “qubool hai”,
Bol uthay lafz “aye naazneen*!! Mukarrar”,
Mehndi lagay haathon mein muqayyad* huwa qalam,
Mansoob kar gaya tujhy khushiyon se umr bhrr,
Nikaah-e-muqaddas ki mubaarik hai de rahi,
Tere liye fiza bhi ho rhi hai mu’attar,
Iss qadar khuloos se maanga tujhy mein ne..
Rashk kr raha tha shbb ka pehr-e-mu’akharr*…

(gul-andaam;phool ke se jism wala, saman brr;chambeli sa badan wala/khoobsurat, pairaahan;libaas, sahj sahj;ahista aahista, munaqqash;naqsh wala/bail-daar, mo’tabbar;aitabar kiya gaya, surmagee’n;surmay wali/kajal ke jesi, naazneen;dil-faraib, muqayyad;qaid kiya gaya, pehr-e-muakhar;akhri pehr)

Sadia Shakeel



kamaal-e-zabt ko Khud bhii to Aazmaon gi

Shadi Shayari

kamaal-e-zabt ko Khud bhii to Aazmaon gi
main apane haath se us kii dulhan sajaon gi



Kareeb aney ke din arahe hain

Shadi Shayari

Naseeb azmaney ke din aarahe hain
Kareeb aney ke din arahe hain,

Jo dil se kaha hai, jo dil se suna hai
Sab us ki sunaney ke din arahe hain,

Abhi se dil o jaan sare raah rah doon
Ke lutne lutaney ke din arahe hain,

Tapakne lagi in ankhon se masti
Nigahen churaney ke din aarahe hain



Sote Waqt Koi Tension Lekar Nahin Sona Chahiye

Shadi Shayari

Purani Kahawat Hy k Sote Waqt Koi Tension Lekar Nahin Sona Chahiye.
*
*
Hairat hy,
*
*
Phir Bhi Log
*
*
Biwi K Sath hi Sote Hain.



Saj kar niklegi tu ghar se bahar

Shadi Shayari

Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi,
Khawon me jaisa maine deka bilkul vaisi lagegi..!
Khubsurat pari is sindar,
Gore honthon me mehndi bhi badi gehri chadegi,
Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi..!
… …
Hosh ud jayenge dekhne walo ke,
Jab tere mathe ki bindiya tare jaisi lagegi..
Jab tere hathon me chudiya khankegi,
Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi..!

Sajkar niklegi tu ghar se bahar,
zamane ki nazre tera peecha karenge..
Aankhon me kajal lagakar jaana “janam”,
Isse tu buri najar se bachegi..
Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi..!

Resham se balon ko jab tu ghunghat se dhakegi,
Nagin se lahrayengi yeh julfe..
Jab tu hole si chalegi,
Na reh paunga bin tuje dekhe..
Us raat yeh aankh kaise lagegi,
Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Shadi Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari