Ahmad Faraz

Ranjish.com has lots of Urdu Ahmad Faraz Poetry. Feel free to add your own Ahmad Faraz Shayari here.

Ahmad Faraz Collection

ahmad faraz poetry Ahmad Faraz
1950-2008

Ahmad Faraz is one of the best poets Pakistan has ever seen. We bring you all the Ahmad Faraz poetry he has written, here at Ranjish.com. Lots of Ahmad Faraz poetry and Ahmad Faraz shayari is available here for you to read and enjoy. So keep coming up as we keep adding more and more poetry of ahmad faraz.
His real name was Syed Ahmed Shah but he chose to use “Faraz” as his pen name. Faraz was awarded several awards like Hilal-e-Imtiaz, Sitara-i-Imtiaz and Hilal-e-Pakistan. If you are looking for Ahmed Faraz Poetry then Ranjish.com is the ultimate place for your literary cravings.



Tere qareeb aa ke baRri uljhanon main hoon..

Ahmad Faraz

Tere qareeb aa ke baRri uljhanon main hoon,
Main dushmanon main hoon ke tere doston main hoon,

Mujh se guraiz-pa hai to har rasta badal,
Main sang-e-raah hoon to sabhi raston main hoon,

Tu aa chuka hai satah par kab se khabar nahin,
Be-dard main bhi inhi gehrayion main hoon,

Ae yaar khush-dayar tujhe kya khabar ke main,
Kab se udasiyon ke ghanay junglon main hoon,

Tu luuTt kar bhi ehl-e-tamanna ko khush nahin,
Main luTt kar bhi wafa ke inhin qafilon main hoon,

Badla na mere baad bhi mozuu-e-guftgu,
Main ja chuka hoon phir bhi teri mehfilon main hoon,

Mujh se bichaRr ke tu bhi roye ga umar bhar,
Yeh soch le ke main bhi teri khawhishon main hoon,

Tu hanss raha hai mujh pe mera haal dekh kar,
Aur phir bhi main shareek tere qehqahon main hoon,

Khud bhi misaal-e-lala-e-sehraa lahuu lahuu,
Aur khud faraz apne tamashiyon main hoon..



Kya aese kam-sukhan se koi guftgu kare..

Ahmad Faraz

Kya aese kam-sukhann se koi guftgu kare,
Jo mustaqil sakoot se dil ko lahuu kare,

Ab to humen bhi tark-e-marasim ka dukh nahin,
Par dil yeh chahta hai ke aghaaz tu kare,

Tere baghair bhi to ghaneemat hai zindagi,
Khud ko ganwa ke kaun teri justuju kare,

Ab to yeh arzuu hai ke woh zakham khaiye,
Ta-zindagii yeh dil na koi arzuu kare,

Tujh ko bhula ke dil hai woh sharminda-e-nazar,
Ab koi hadsa hi tere rubaru kare,

Chup-chaap apni aag main jalte raho faraz,
Duniya to arz-e-haal se be-abruu kare..



Do ghaRri us se raho door to yun lagta hai..

Ahmad Faraz

Do ghaRri us se raho door to yun lagta hai,
Jis tarah saya-e-dewar se dewar juda..



Ab tak dil-e-khush-fehm ko tujh se hain umeeden..

Ahmad Faraz

Ab tak dil-e-khush-fehm ko tujh se hain umeeden,
Yeh aakhri shamen bhi bujhaane ke liye aa..



Barson ke baad dekha ik shakhs dilruba sa..

Ahmad Faraz

Barson ke baad dekha ik shakhs dilruba sa,
Ab zehen main nahi hai par naam tha bhala sa..



Chala tha zikr zamane ki bewafayi ka..

Ahmad Faraz

Chala tha zikr zamane ki bewafayi ka,
Sau aa geya hai tumhara khayal wese hi..



Kisi ko ghar se nikalte hi mil gayi manzil..

Ahmad Faraz

Kisi ko ghar se nikalte hi mil gayi manzil,
Koi hamari tarah umar bhar safar main raha..



Dost ban kar bhi nahi sath nibhaane wala..

Ahmad Faraz

Dost ban kar bhi nahi sath nibhane wala
Wohi andaz hay zalim ka zamane wala

Ab usay log samjhte hain giraftar mera
Sakht naadim hay mujhe daam main lane wala

Subah dam choRR geya nikhat-e-gull ki surat
Raat ko guncha-e-dil may simatt aane wala

Kya kahen kitne marasim they hamare us se
Wo jo ik shakhss hai muh phair kay jaane wala

Tere hote huye aa jati thi sari dunia
Ajj tanha hoon to koi nahi aane wala

Muntazir kiss ka hoon tooti hoi dehleez pe main
Kon aye ga yahan, kon hai aane wala

Kya khabar thi jo meri jaan may ghulla hay itna
Hay wohi mujh ko sar-e-daar bhi laane wala

Main ne dekha hay baharon may chaman ko jalte
Hai koi khawb ki tabeer batane wala

Tum takaluf ko bhi ikhlaas samjhte ho Faraz
Dost hota nahi har hath milane wala

دوست بن کر بھی نہیں ساتھ نبھانے والا - احمد فراز



Aisa hai ke sab khawb musalsal nahin hote..

Ahmad Faraz

Aisa hai ke sab khawb musalsal nahin hote,
Jo aaj hote hian magar kal nahin hote,

Andar ki fazaon ke karishme bhi ajab hain,
Menh tuut ke barse bhi to badal nahin hote,

Kuch mushkilen aisi hain ke asaan nahin hotin,
Kuch aese muammay hain kabhi hal nahin hote,

Shaistagi-e-gham ke sabbab ankhon ke sehraa,
Namnak to ho jaate hain jal-thal nahin hote,

Kese hi talatum hon magar qulzum-e-jan main,
Kuch yaad jazeere hain ke ojhal nahin hote,

Ushaq ke manind keyi ehl-e-havas bhi,
Pagal to nazar aate hain pagal nahin hote,

Sab khawhishen puri hon faraz aesa nahin hai,
Jaise keyi ashaar mukammal nahin hote..

ایسا ہے کہ سب خواب مسلسل نہیں ہوتے - احمد فراز



Ranjish hi sahi, dil hi dukhaane ke liye aaa..

Ahmad Faraz

ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa

Ranjish hi sahi, dil hi dukhaane ke liye aaa,
Aaa phir se mujhe chorr ke jaane ke liye aaa,

Kuch to mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh,
Tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aaa,

Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to,
Rasm-o-raaah-e-duniyaaa hi nibhaane ke liye aaa,

Kis kis ko batayen ge judayi ka sabbab hum,
tu mujh se khafaa hai to zamaane ke liye aaa,

Ik umar se hoon lazzat-e-girya se bhi mehroom,
Ae rahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aaa,

Ab tak dil-e-khush-fehm ko tujh se hain umeeden,
Yeh aakhri shamen bhi bujhaane ke liye aaa..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ahmad Faraz.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari