Ehsan Danish

Ranjish.com has lots of Urdu Ehsan Danish Poetry. Feel free to add your own Ehsan Danish Shayari here.

Ehsan Danish Collection



Kis kis ki zubaan rokne jaaon teri khaatir..

Ehsan Danish

Kis kis ki zubaan rokne jaaon teri khaatir,
Kis kis ki tabaahi main tera haath nahin hai..



Nazar faraib qazaa kha gayi to kya hoga..

Ehsan Danish

Nazar faraib qazaa kha gayi to kya hoga,
Hayaat maut se takraa gayi to kya hoga,

Neyi seher ke bohat muntazir hain magar,
Neyi seher bhi jo kujlaa gayi to kya hoga,

Na rehnamaaon ki majliss main le chalo mujh ko,
Main be-adab hoon hanssi agayi to kya hoga,

Gham hayaat se beshak hai khud-kushi asaan,
Magar jo maut bhi sharmaa gayi to kya hoga..



Ehsaan aesa talkhh jawab-e-wafa milaa..

Ehsan Danish

Ehsaan aesa talkhh jawab-e-wafa milaa,
Hum is ke baad phir koi armaan na kar sake..



Muddat guzar gayi ke yeh aalam hai..

Ehsan Danish

Muddat guzar gayi ke yeh aalam hai mustaqil,
Koi sabbab nahin hai magar dil udaas hai..



Main khud pehel karoon ya udhar se ho..

Ehsan Danish

Main khud pehel karoon ya udhar se ho ibtidaa,
Barson guzar gaye hain yehi sochte huye..



Roohain tou ik zamana hua..

Ehsan Danish

Roohain tou ik zamana hua, ho chuki’n faroht,
Kis nar’hh se bikain ge badan, Dekhte raho..



Kabhi mujhko sath le ker

Ehsan Danish

kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar
vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar

huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga
meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k

teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai
vahi champai ujale vahi surmai dhundalake

koi phul ban gaya hai koi chand koi tara
jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k

mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo
vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k

teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila
ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ehsan Danish.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari