Firaq Gorakhpuri

Ranjish.com has lots of Urdu Firaq Gorakhpuri Poetry. Feel free to add your own Firaq Gorakhpuri Shayari here.

Firaq Gorakhpuri Collection

Firaq Gorakhpuri Firaq Gorakhpuri
1896-1982

Firaq Gorakhpuri was born in 1896. Mash’aal and Rooh-e-Kaayenaat are two of his famous poetry books. His real name was Raghupati Sahay but he chose to use Firaq Gorakhpuri as his pen name.
Ranjish.com is the ultimate place to find and read Firaq Gorakhpuri Poetry in both text and image form.



Bohat dinon main mohabbat ko yeh hua maloom..

Firaq Gorakhpuri

Bohat dinon main mohabbat ko yeh hua maloom,
Jo tere hijr main guzri woh raat raat huyi..



Zindagi kya hai, aaj isse aye dost..

Firaq Gorakhpuri

Zindagi kya hai, aaj isse aye dost,
Soch lain aur udaas ho jayen.



Na koi vaada na koi yaqeen na koi umeed..

Firaq Gorakhpuri

Na koi vaada na koi yaqeen na koi umeed,
Magar humen to tera intezar karna tha..



Tere aane ki kya umeed magar..

Firaq Gorakhpuri

Tere aane ki kya umeed magar,
Kese keh doon ke intezar nahin..



Dekh raftar-e-inqalab firaq..

Firaq Gorakhpuri

Dekh raftar-e-inqalab firaq,
Kitni ahista aur kitni tez..



Main hoon, dil hai, tanhayi hai..

Firaq Gorakhpuri

Main hoon dil hai tanhayi hai

Main hoon, dil hai, tanhayi hai,
Tum bhi hote acha hotaa..

میں ہوں دل ہے تنہائی ہے
تم بھی ہوتے اچھا ہوتا



Ankhon main jo baat ho gayi hai..

Firaq Gorakhpuri

Ankhon main jo baat ho gayi hai,
Ik sharh-e-hayat ho gayi hai,

Jab dil ki vafat ho gayi hai,
Har cheez ki raat ho gayi hai,

Gham se chhoot kar yeh gham hai mujh ko,
Kyun gham se najaat ho gayi hai,

Muddat se khabar mili na dil ki,
Shayad koi baat ho gayi hai,

Jis shai pe nazar parri hai teri,
Tasveer-e-hayat ho gayi hai,

Ab ho mujhe dekhiye kahan subh,
Un zulfon main raat ho gayi hai,

Dil main tujh se thi shikayet,
Ab gham ke nikaat ho gayi hai,

Jo cheez bhi mujh ko hath ayi,
Teri saughaat ho gayi hai,

Kya janiye maut pehle kya thi,
Ab meri hayaat ho gayi hai,

GhaTte GhaTte teri inayat,
Meri auqaat ho gayi hai,

Us chashm-e-siyah ki yaad yaksar,
Sham-e-zulmat ho gayi hai,

Ikka-dukka sadaa-e-zanjeer,
Zindan main raat ho gayi hai,

Ek ek sifat firaq us ki,
Dekha hai to zaat ho gayi hai..

آنکھوں میں جو بات ہو گئی ہے - فراق گورکھپوری



Shaam bhi thi dhuaan dhuaan..

Firaq Gorakhpuri

Shaam bhi thi dhuaan dhuaan husn bhi tha udaas udaas,
Dil ko keyi kahaniyaan yaad si aa ke reh gayin..



Sar main saudaa bhi nahin, dil main tamanna bhi nahin..

Firaq Gorakhpuri

firaq gorakhpuri poetry

Sar main saudaa bhi nahin, dil main tamanna bhi nahin,
Lekin is tarkk-e-mohabbat ka bharossa bhi nahin,

Dil ki ginti na yagaanon main na begaanon main,
Lekin us jalvaa-gah-e-naz se uthta bhi nahin,

Shikwa -e-jaur kare kya koi us shokh se jo,
Saaf qaayel bhi nahin saaf mukartaa bhi nahin,

Meherbaani ko mohabbat nahin kehte aye dost,
Aah ab mujh se teri ranjish -e-bejaa bhi nahin,

Ek muddat se teri yaad bhi aayi nahin humen,
Aur hum bhool gaye hon tujhe aesa bhi nahin,

Yeh bhi sach hai ke mohabbat pe nahin main majboor,
Yeh bhi sach hai ke tera hussn kuch aisa bhi nahin,

Yuun to hungaame uthaate nahin deewaana-e-ishq,
Magar ae dost kuch aison ka thikaana bhi nahin,

Fitrat -e-hussn ko maloom hai tujh ko humdum,
Chaara hi ka hai ba-juzz sabr to hota bhi nahin,

Muuh se hum apne bura to nahin kehte ke firaq,
Hai tera dost magar aadmi achaa bhi nahin..



Kaat diye zindagi ke din aye dost..

Firaq Gorakhpuri

kaat diye zindagi

Gharzz ke kaat diye zindagi ke din aye dost,
Woh teri yaad main hon ya tujhe bhulane main..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Firaq Gorakhpuri.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari