Bashir Badr

Ranjish.com has lots of Urdu Bashir Badr Poetry. Feel free to add your own Bashir Badr Shayari here.

Bashir Badr Collection

Bashir Badr Bashir Badr
1935-

Bashir Badr is a famous urdu poet. He was born in 1935 and is currently living in Bhopal, India. We are committed to bring all of Bashir Badr poetry right here at Ranjish.com.
His most famous ghazal was “Khuda hum ko aesi khudayi na de” which is sung by several popular singers including the ghazal maestro Jagjit Singh. Badr has two sons who are also interested in poetry and literature. He has lived in Meerut, Delhi and Bhopal.



Mohabaton main dikhave ki dosti na bana..

Bashir Badr

Mohabaton main dikhave ki dosti na bana,
Agar gale nahin milta to hath bhi na mila..



Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki..

Bashir Badr

Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki,
BaRri aarzu thi mulaqat ki..



Sar se paa tak woh gulabon ka shajar lagta hai..

Bashir Badr

Sar se paa tak woh gulabon ka shajar lagta hai,
Ba-wuzu ho ke bhi chhute huye Ddar lagta hai,

Main tere sath sitaron se guzar sakta hoon,
Kitna asaan mohabbat ka safar lagta hai,

Mujh main rehta hai koi dushman-e-jaani mera,
Khud se tanhai main milte huye Ddar lagta hai,

But bhi rakhe hain namazen bhi adaa hoti hain,
Dil mera dil nahin Allah ka ghar lagta hai,

Zindagi tu ne mujhe qabr se kam di hai zameen,
Paaon phailaaun to deewar main sar lagta hai..



Ajeeb raat thi kal tum bhi aa ke laut gaye..

Bashir Badr

Ajeeb raat thi kal tum bhi aa ke laut gaye,
Jab aa gaye thay to pal bhar theher gaye hote..



Aashiqi main bohat zaroori hai..

Bashir Badr

Aashiqi main bohat zaroori hai,
Bewafayi kabhi kabhi karna..



Raat ankhon main dhali, palkon pe jugnu aye..

Bashir Badr

Raat ankhon main dhali, palkon pe jugnu aye,
Hum hawaon ki tarah ja ke usse chhuu aye,

Us ka dil, dil nahin pathar ka kaleja hoga,
Jis ko phoolon ka hunar, aansu ka jadu aye,

Buss gayi hai mere ehsas main yeh kesi mehak,
Koi khushbu main lagaon, teri khushbu aye,

Khoobsurat hain bohat duniya ke jhoote waade,
Phool kaghaz ke liye kanch ke bazu aye,

Us ne chhuu kar mujhe pathar se phir insan kiya,
Mudaton baad meri ankhon main aansuu aye..



Isi liye to yahan ab bhi ajnabi hoon main..

Bashir Badr

Isi liye to yahan ab bhi ajnabi hoon main,
Tamaam log farishte hain, aadmi hoon main..



Parakhna mat, parakhne se koi apna nahin rehta..

Bashir Badr

Parakhna mat, parakhne se koi apna nahin rehta,
Kisi bhi aayine main dair tak chehra nahin rehta,

Barre logon se milne main hamesha fasle rakhna,
Jahan darya samandar se mila darya nahin rehta,

Hazaron sher mere so gaye kaghaz ki qabron main,
Ajab maan hoon koi bacha mera zinda nahin rehta,

Tumhara shehr to bilkul naye andaz wala hai,
Hamare shehr main bhi ab koi hum sa nahin rehta,

Mohabbat aik khushbuu hai hamesha sath chalti hai,
Koi insan tanhayi main bhi tanha nahin rehta,

Koi baadal haray mausam ka phir ailaan karta hai,
Khizaan ke bagh main jab aik bhi pataa nahin rehta..

پرکھنا مت پرکھنے میں کوئی اپنا نہیں رہتا - بشیر بدر



Khuda hum ko aesi khudayi na de..

Bashir Badr

Khuda hum ko aesi khudayi na de,
Ke apne sivaa koi dikhayi na de..



Honton pe mohabbat ke fasaane nahin aate..

Bashir Badr

Bashir Badr Poetry

Honton pe mohabbat ke fasaane nahin aate,
Sahil pe samandar ke khazaane nahin aate,

Palken bhi chamak uthti hain sone main hamari,
Ankhon ko abhi khawb chupaane nahin aate,

Dil ujrri hui aik saraaye ki tarah hai,
Ab log yahan raat jagaane nahin aate,

Yaaro naye mausam ne yeh ehsaan kiye hain,
Ab yaad mujhe dard puraane nahin aate,

Urrne do parindon ko abhi shokh hawaa main,
Phir lautt ke bachpan ke zamaane nahin aate,

Is sheher ke baadal teri zulfon ki tarah hain,
Yeh aag lagaate hain bujhaane nahin aate,

Ehbaab bhi ghairon ki adaaa seekh gaye hain,
Aate hain magar dil ko dukhaane nahin aate..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Bashir Badr.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari