Latest Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Latest Shayari Poetry. Feel free to add your own Latest Shayari Shayari here.Latest Shayari Collection
Urdu Latest Shayari
Samajh na paayi ke kya be-muhaar chahta tha..
Latest Shayari
samajh na paayi ke kya be-muhaar chahta tha
ajeeb shakhss tha khud se faraar chahta tha
woh meri arz bhi hukman shumaar karne laga
woh har tarah se mera aitbaar chahta tha
usay qabool thi wese to meri majboori
magar woh mujh pe zara ikhteyar chahta tha
jawan dilon ke marahil to tey kiye saray
magar woh vasl main kuch intezar chahta tha
tamaniyat na mili mujh ko phir kisi surat
ke mera dil bhi to hona figaar chahta tha
kabhi na ashk bahao gi mujh se vaada karo
woh pyar main bhi faqat iqtidaar chahta tha
bas ik anaa thi ke jis na dabo diya us ko
magar woh phir bhi ussi ka hisaar chahta tha
sabhi charagh e mohabbat bhuja diye us ne
ke woh hawa pe bhi hona sawaar chahta tha
woh thak geya tha mohabbat ki arzu karte
bichaRr ke mujh se woh shayad qaraar chahta tha
yeh dastaan bhi usi shakhss ne likhi ushba
taveel qisse main jo ikhtisaar chahta tha
samajh bhi aate hain lafzon ko saada bolta hoon
Latest Shayari
samajh bhi aate hain lafzon ko saada bolta hoon
ghuTtan main reh kar bhi kitna kushaada bolta hoon
sabbab yeh hai ke kisi ne naheen suni meri
isi liye to main tujh se zeyada bolta hoon
main ehad toRrta hoon us se be-kalaami ka
woh aik baar bula le to vaada bolta hoon
yaqeen karo ke mujhe bolne ka shauq naheen
tumhare sath yunhi beirada bolta hoon
kare ga yaad ke kaisa sahii mila tujh ko
bhikari ja main tujhe shahzada bolta hoon
mujhe pata hai ke phir is ke baad kya hoga
isi liye to shajar ko barada bolta hoon
Acha hai dil ke sath rahe pasbaan-e-aqal..
Latest Shayari
Acha hai dil ke sath rahe pasbaan-e-aqal,
Lekin kabhi kabhi isay tanha bhi chorr de..
Ek yaad ki maujoodgi seh bhi nahin saktey..
Latest Shayari
Ek yaad ki maujoodgi seh bhi nahin saktey
Yeh baat kisi aur se keh bhi nahin saktey
Tu apne gehan mein hai to main apne gehan mein
Do chaand hain ek abr mein geh bhi nahin saktey
Hum-jism hain aur dono ki bunyadein amar hain
Ab kaise bichhar jain ki Dah bhi nahin saktey
Dariya hoon kisi roz muawan ki tarah mil
Yeh kya ke hum ek laher mein beh bhi nahin saktey
Khuwaab aayen kahan se agar ankhain hoon purani
Aur subh tak is khof mein reh bhi nahin saktey
Kis kis ki zubaan rokne jaaon teri khaatir..
Latest Shayari
Kis kis ki zubaan rokne jaaon teri khaatir,
Kis kis ki tabaahi main tera haath nahin hai..
Naquus se gharaz hai na matlab azaan se hai..
Latest Shayari
Naquus se gharaz hai na matlab azaan se hai,
Mujhe ko agar hai ishq to hindustaan se hai,
Tehzeeb-e-hind ka nahin chashma agar azzal,
Yeh mauj-e-rang-rang phir aayi kahaan se hai,
Zaray main gar tarrap hai to is arz-e-paak se,
Suraj main raushni hai to is aasman se hai,
Hai is ke dam se garmi-e-hangaama-e-jahan,
Maghrib ki saari raunaq isi ik dukaan se hai..
Ae gham-e-zindagi na ho naraz,
Latest Shayari
Ae gham-e-zindagi na ho naraz,
Mujhe ko aadat hai muskuraane ki..
Bara dushwaar hota hai, Zara sa faisla karna..
Latest Shayari
Bara dushwaar hota hai
Zara sa faisla karna
Ke jeevan ki kahani ko
Beyaan-e-bezubani ko
Kahan se yaad rakhna hai
Kahan se bhool jana hai
Kise kitna batana hai
Kis se kitna chupaana hai
Kahan ro ro ke hasna hai
Kahan hans hans ke rona hai
Kahan awaz deni hai
Kahan khamosh rehna hai
Kahan rasta badalna hai
Kahan se laut aana hai
Bara dushwaar hota hai
Zara sa faisla karna..
Watch Video
Kahin pe ruk bhi sakta hai hamare ishq ka sauda..
Latest Shayari
Kahin pe ruk bhi sakta hai hamare ishq ka sauda,
Ke jaana’n hadh se aagey khasaara* ja nahin sakta..
(khasaara:loss, nuksaan)
Aanchal se mera khoon utarta bhi to kese..
Latest Shayari
Aanchal se mera khoon utarta bhi to kese,
Woh kar ke mujhe qatal mukarta bhi to kese,
Yaadon ki hawaa aankh se takraa ke jo guzri,
Baadal ne barasnaa tha theherta bhi to kese,
Jo waqt ke saath aur bhi ho jata hai gehra,
Woh zakham-e-nihaa’n bharta bhi to kese,
Ambar bhi bhulaa deta hai tootay huye taarey,
Main kya hoon woh yaad mujhe rakhta bhi to kese,
Nadaan they hameen kafan sar per baandh ke aaye,
Bedard woh jaan se guzarta bhi to kese..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Latest Shayari.