Wasi Shah

Ranjish.com has lots of Urdu Wasi Shah Poetry. Feel free to add your own Wasi Shah Shayari here.

Wasi Shah Collection

Wasi Shah
1976-

Wasi Shah is young pakistani romantic poet. Poeple search Wasi Shah Poetry or Wasi Shah Shayari to read Wasi Shah Shayari. Wasi Shah Poetry is truely loved by urdu readers all over the world. Wasi Shah has wrote so many poetry books, some of them are Mere Ho Ke Raho and Mujhe Sandal Kardo.



Kaho to laut jaate hain..

Wasi Shah

Kaho to laut jaate hain
abhi to baat lamhon tak hai
salon tak nahin ayi
abhi muskanon ki naubat bhi
nalon tak nahin ayi
abhi to koi majboori
khayalon tak nahin ayi
abhi to gard pairon tak hai
balon tak nahin ayi
kaho to laut jate hain

chalo ik faisla karne shajar ki aott jate hain
abhi kajal ki dori surkh galon tak nahin ayi
zaban danton talak hai zeher payalon tak nahin ayi
abhi to mushk-e-kasturi ghazalon tak nahin ayi
abhi rudad-e-beunwan hamare tak hai
duniya walon tak nahin ayi
kaho to laut jate hain

chalo ik faisla karne shajar ki aott jate hain
abhi nazdeek hain ghar aur manzil door hai apni
mabada naar ho jaye
yeh hasti noor hai apni
kaho to laut jate hain

chalo ik faisla karne shajar ki aott jate hain
yeh rasta pyar ka rasta
rasan ka taar ka rasta
bohat dushwar hai janan
is raste ka har zara bhi ik kohsar hai janan
kaho to laut jate hain

mere baray na kuch socho
mujhe teh karna ata hai
rasan ka taar ka rasta
yeh andhi ghaar ka rasta

tumhare gesuyon ki chaon mil jaye
to suraj se ulajhna baat hi kya hai
utha lo apna saya tum
meri aukat hi kya hai
tumhara narm-o-nazuk hath ho gar mere hathon main
to main samjhoon ga jese do jahan hon meri muthi main
tumhara qurb ho to
mushkilen kafur ho jayen
yeh andhe aur kalay raste pur-noor ho jayen

mujhe maloom hai itna
ke dayam zindagi posheeda hai
in chaar qadmon main
bohat si rahaten muzmir hain in dushwar raston main
mere baray na kuch socho
tum apni baat batlao
kaho to chalte rehte hain
kaho to laut jaate hain



To main bhi khush hoon..

Wasi Shah

To main bhi khush hon koi us se ja ke keh dena,
Agar woh khush hai mujhe be-qaraar karte huye,

Tumhe khabar hi nahin hai ke koi toot geya,
Mohababton ko bohat paayedaar karte huye..



Sochta hoon ke usay neend bhi ati hogi..

Wasi Shah

Sochta hoon ke usay neend bhi ati hogi,
Ya meri tarah faqat ashq bahaati hogi,

Woh meri shakal mera naam bhulaane wali,
Apni tasveer se kya aankh milaati hogi,

Iss zameen pr bhi hai sailaab mere ashkon se,
Mere maatam ki sadaa arshh hilaati hogi,

Shaam hote hi woh chokhat pr jalaa kar shamen,
Apni palkon pe kayi khawb sulaati hogi,

Us ne silvaa bhi liye hon ge siyaah rang ke libaas,
Ab moharram ki tarah eid manaati hogi,

Mere tareek zamaano se nikalne wali,
Roshni tujh ko meri yaad dilaati hogi,

Dil ki masoom ragen khud hi sulagti hon gi,
Jun hi tasveer ka kona woh jalati hogi,

Roop de kar mujhe us me kisi shehzaade ka,
Apne bachon ko kahani woh sunaati hogi..



Kal hamesha ki tarah uss ne kaha yeh phone pr..

Wasi Shah

Kal hamesha ki tarah
uss ne kaha yeh phone pr
main bohat masroof hoon
mujh ko bohat se kaam hain

Is liye tum aao milne
main to aa nahin sakta
ab har riwaayet torr kar
iss baar maine keh diya

Tum jo ho masroof to
main bhi bohat masroof hoon
tum jo ho mashoor to
main bhi bohat maroof hoon

Tum agar ghamgeen ho
main bhi bohat ranjuur hoon
tum thakkan se chuur ho
main bhi thakkan se chuur hoon

Jaane mann
hai waqt mera bhi bohat hi qeemti
kuch purane doston ne milne ana hai mujhe
main bhi ab faragh nahin
mujh ko bhi laakhon kaam hain

Warna kehne ko to sab lamhe tumhare naam hain
meri ankhen bhi bohat bojhal hain
sona hai mujhe
rat.jagon ke baad neendon main khona hai mujhe

Main lahuu apni anaaon ka
bahaa sakta nahin
tum nahin aati
to milne main bhi aa sakta nahin

Us ko yeh keh kar Wasi
maine receiver rakh diya
aur phir apni anaaa ke paaon pe
sar rakh diya..

Watch Video



Tere gale main jo baahon ko daal rakhte hain..

Wasi Shah

Tere gale main jo bahon ko daal rakhte hain,
Tujhe manane ka kesa kamaal rakhte hain,

Tujhe khabar hai tujhe sochne ki khatir hum,
Bohat se kaam muqadar par taal rakhte hain,

Koi bhi faisla hum soch kar nahin karte,
Tumhare naam ka sikka uchhaal rakhte hain,

Tumhare baad ye aadat si ho gayi apni,
Bikharte sookhtey patey sambhaal rakhte hain,

Khushi si milti hai khud ko aziyaten de kar,
So jaan boojh kar dil ko nidhaal rakhte hain,

Kabhi kabhi woh hans kar dekh lete hain,
Kabhi kabhi mera be-hadh khayal rakhte hain,

Tumhare hijar mein ye haal ho gaya apna,
Kisi ka khat ho ussey bhi sambhaal rakhte hain,

Khushi mile to tere baad khushi nahin hoti,
Hum apni aankh mein har dam malaal rakhte hain,

Zamane bhar se bacha kar wo apne aanchal mein,
Mere wajood ke tukrre sambhal rakhte hain,

Kuch is liye to behaal ho gaye hum log,
Tumhari yaad ka be-hadh khayaal rakhte hain..

Watch Video



Aik din aye ga woh shakss hamara hoga..

Wasi Shah

Uss ki ankhon main mohabbat ka sitara hoga,
Aik din aye ga woh shakss hamara hoga,

Tum jahan mere liye seepiyan chunti hogi,
Woh kisi aur hi duniya ka kinaara hoga,

Zindagi! ab mera naam na shamil karna,
Gar yeh tehh hai yehi khail dobaraa hoga,

Jis ke hone se meri saans chala karti hai,
Kis tarah us ke bina mera guzaara hoga,

Yeh achaanak jo ujaala sa hua jata hai,
Dil ne chupke se tera naam pukara hoga,

Ishq karna hai to din raat usey sochna hai,
Aur kuch zehen main aaya to hasaara hoga,

Yeh jo paani main chala aaya sunehri sa gharoor,
Uss ne daryaa main kahin paaon utaara hoga,

Kon rota hai yahan hijar ke sanaatton main,
Mere jesa hi koi hijar ka maara hoga,

Mujh ko maloom hai joon hi main qadam rakhoon ga,
Zindagi tera koi aur kinaara hoga,

Jo meri rooh main badal se garajte hain Wasi,
Uss ne seeney main koi dard utaara hoga,

Kaam mushkil hai magar jeet hi loon ga us ko,
Mere maula ka Wasi jab ishaara hoga..

Watch Video



Befaiz logon se nibhaa kar kuch nahin milta..

Wasi Shah

Kisi ki aankh se sapne churaa kar kuch nahin milta,
Munddairon se chiraghon ko bhuja kar kuch nahin milta,

Sakoon un ko nahin milta kabhi pardes ja kar bhi,
Jinhe apne watan se dil laga kar kuch nahin milta,

Usey kehna ke palkon pe na taanke khawb ki jhaalar,
Samandar ke kinaare ghar bana kar kuch nahin milta,

Na jaane kon se jazbe ki yoon taskeen karta hoon,
Bazaahar to tumhare khat jalaa kar kuch nahin milta,

Usey main pyaar karta hoon to mujh ko chain ata hai,
Woh kehta hai usey mujh ko sataa kar kuch nahin milta,

Mujhe aksar sitaaron se yehi awaaz ati hai,
Kisi ke hijar main neendain ganwaa kar kuch nahin milta,

Jigar ho jaaye ga chhalni, yeh aankhain khoon royen gi,
Wasi, befaiz logon se nibhaa kar kuch nahin milta..

Watch Video



Na tumhey hosh rahey or na mujhey hosh rahey..

Wasi Shah

Na tumhey hosh rahey or na mujhey hosh rahey,
Is qadar toot kay chaho mujhey pagal kar do..



Is qadar toot kay tum par humey pyar ata hai..

Wasi Shah

Is qadar toot kay tum par humey pyar ata hai,
Apni bahon me bharien mar hi dalien tum ko..



Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah

Wasi Shah

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah

Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah

Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,

Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi”
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Wasi Shah.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari