mera nahin to woh apna hi kuch khayal kare
mera nahin to woh ap..

mera nahin to woh apna hi kuch khayal kare
usay kaho ke taluq ko phir bahaal kare
nigah e yaar na ho to nikhr nain paata
koi jamal ki jitni bhi dekhbhaal kare
mile to itni reyayat ataa kare mujh ko
mere jawab ko sun kar koi sawal kare
kalaam kar ke mere lafz ko sahulat mile
tera sakuut meri guftugu muhaal kare
na guzre waqt ka puche na aane wale ka
koi sawal kare bhi to hasb e haal kare
bulandiyon pe kahan tak tujhe talash karoon
har aik saans pe umar e ravaan zawaal kare
main us ka phool hoon sau nayyar us pe choR diya
woh gesuyon main sajaye ke payemaal kare
Designed Shayari, Ghazal Shayari, Shahbaz Nayyar
February 9th, 2022