Iftikhar Arif

Ranjish.com has lots of Urdu Iftikhar Arif Poetry. Feel free to add your own Iftikhar Arif Shayari here.

Iftikhar Arif Collection

Iftikhar Arif Iftikhar Arif
1940-

Iftikhar Arif is a famous Pakistani poet who currently resides in Islamabad. His poetry books are “Mehr-i-Doneem”, “Harf-i-Baryab” and “Jahan-e-Maloom”.
Iftikhar Arif has received various awards like Hilal-i-Imtiaz, Sitara-e-Imtiaz and Pride of Performance.
Ranjish.com is the best place to read Iftikhar Arif Poetry.



sitara-war jale phir bujha diye gaye hum

Iftikhar Arif

sitara-war jale phir bujha diye gaye hum
phir is ke baad nazar se giraa diye gaye hum

azeez thay humen nau-varidan-e-kucha-e-ishq
so peeche haTte gaye rasta diye gaye hum

shikast o fateh ke sab faisle huye kahin aur
misal-e-maal-e-ghaneemat luTa diye gaye hum

zameen farsh-e-gul-o-lala se sajayi gayi
phir is zameen ki amanat bana diye gaye hum

duayen yaad kara di gayi theen bachpan main
so zakhm khate rahe aur dua diye gaye hum



Tum se bichaRr kar zinda hain..

Iftikhar Arif

Tum se bichaRr kar zinda hain,
Jaan bohat sharminda hain..



Wohi charaagh bujha jis ki lau qayamat thi..

Iftikhar Arif

Wohi charaagh bujha jis ki lau qayamat thi,
Ussi pe zarb paRri jis jo shajar purana tha..



Dil pagal hai roz nayi nadani karta hai..

Iftikhar Arif

Dil pagal hai roz nayi nadani karta hai,
Aag main aag milata hai phir paani karta hai..



Meri zindagi main bas ek kitaab hai..

Iftikhar Arif

Meri zindagi main bas ek kitaab hai
ek charagh hai
ik khawb hai
aur tum ho
yeh kitab-o-khawb ke darmeyan jo manzilen hain
main chahta tha tumhare sath bassar karoon
yehi qul-asaasa-e-zindagi hai
isi ko zaad-e-safar karoon
kisi aur samt nazar karoon to meri dua main assar na ho
mere dil ke jada-e-khushkhabar pr bajuz tumhare
kabhi kisi ka guzar na ho
magar is tarah ke tumhen bhi is ki khabar na ho
isi ehtiyat main sari umar guzar gayi
woh jo aarzu thi
kitab-o-khawb ke sath tum bhi shareek ho
wohi mar gayi
isi kashmakash ne kayi sawal uthaye hain
woh sawal jin ka jawab meri kitab main hai na khawb main
mere dil ke jada-e-khushkhabar ke rafiq
tum hi batao ke yeh karobar-e-hayat kis ke hisab main
meri zindagi main bas ik kitab hai
ik charagh hai
ik khawb hai
aur tum ho..



Koi to phool khilaye dua ke lehje main..

Iftikhar Arif

Koi to phool khilaye dua ke lehje main,
Ajab tarah ki ghuttan hai hava ke lehje main,

Yeh waqt kis ki rauunat pe khaak daal geya,
Yeh kaun bol raha tha khuda ke lehje main,

Na-jane khalq-e-khuda kaun se azaab main hai,
Hawayen cheekh parri ilteja ke lehje main,

Khula fareb-e-mohabbat dikhayi deta hai,
Ajab kamal hai us bewafa ke lehje main,

Yehi hai maslehat-e-jabr-e-ehtiyat to phir,
Hum apna haal kahen ge chupa ke lehje main..

کوئی تو پھول کھلائے دعا کے لہجے میں



Dil pagal hai roz nayi nadani karta hai..

Iftikhar Arif

Dil pagal hai roz nayi nadani karta hai,
Aag main aag milata hai phir paani karta hai..



Khawb ki tarah bikhar jaane ko jee chahta hai..

Iftikhar Arif

Khawb ki tarah bikhar jaane ko jee chahta hai,
Aesi tanhayi ke mar jaane ko jee chahta hai,

Ghar ki vehshat se larazta hoon magar jaane kyun,
Shaam hoti hai to ghar jaane ko jee chahta hai,

Doob jaon to koi mauj nishan tak na bataye,
Aesi nadee main utar jaane ko jee chahta hai,

Kabhi mil jaye to raste ki thakkan jaag parre,
Aesi manzil se guzar jaane ko jee chahta hai,

Wohi paimaan jo kabhi jee ko khush aya tha bohat,
Ussi paimaan se mukar jaane ko jee chahta hai..



Hussain tum nahin rahe..

Iftikhar Arif

hussain tum nahin rahe

Hussain tum nahin rahe tumhara ghar nahin raha,
Magar tumhare baad zaalimon ka ddar nahin raha..



Koi to ho jo meri wehshaton ka saathi ho..

Iftikhar Arif

Deyaar-e-noor main teera-shabon ka saathi ho,
Koi to ho jo meri wehshaton ka saathi ho,

Main us se jhoot bhi boloon to mujh se sach bole,
Mere mizaaj ke sab mausmon ka saathi ho,

Main us ke hath na aaon woh mera ho ke rahe,
Main gir parroon to meri pastiyon ka saathi ho,

Woh mere naam ki nisbat se moatbar thehre,
Gali gali meri ruswaayiyon ka sathi ho,

Kare kalaam woh mujh se to mere mere lehje se,
Main chup rahoon to mere taivron ka saathi ho,

Woh khawb dekhe to dekhe mere hawaale se,
Mere khayaal ke sab manzaron ka saathi ho..

Watch Video


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Iftikhar Arif.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari