Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



kabhi dadi kabhi nani se alag kar diye gaye

Ghazal Shayari

kabhi dadi kabhi nani se alag kar diye gaye
bache pariyon ki kahani se alag kar diye gaye

kachi umaron main humen kaam par laga diya gaye
hum woh bache jo jawani se alag kar diye gaye

jung laRne ke liye scene main laye gaye hum
aman hote hi kahani se alag kar diye gaye

hum woh alfaz jinhe theek se samjha na gaya
jab bhi likhe gaye maani se alag kar diye gaye

pehle duniya ne sikhaya humen teraaki ka fun
tairna aya to pani se alag kar diye gaye

chiRiya ghar ne kiya jungle ko nagar main abaad
janwar pani ke pani se alag kar diye gaye

tota chashmon se khareedi gaye tota chashmi
aankh wale nigehbaani se alag kar diye gaye



kaam is dil ki tabahi se liya kya jaye

Ghazal Shayari

kaam is dil ki tabahi se liya kya jaye
sochta hoon ke kharabe main kiya kya jaye

ae kisi yaad ki khiRki se guzarte mausam
kya diya jaye tujhe aur liya kya jaye

is garebaan ko kisi mauj main aa kar maine
chaak agar kar hi liya hai to siya kya jaye

teri khawhish ke kisi akhri darwaze par
marna mumkin na rahe gar to jiya kya jaye



tujh se ab dard ka rishta bhi nahin chahiye hai

Ghazal Shayari

tujh se ab dard ka rishta bhi nahin chahiye hai
ja mujhe teri tamanna bhi nahin chahiye hai

dekh kuch bhi na sakoon main kisi saye ke siwa
raushni itni zeyada bhi nahin chahiye hai

ik nazar tishna e nazaara hi rakh leni hai
ik tamashe main tamasha bhi nahin chahiye hai

khair o shar dono mujhe zakhm diye jate hain
yeh bura kya mujhe acha bhi nahin chahiye hai

ab zara chahiye tanhai main yaksui mujhe
ab koi chahne wala bhi nahin chahiye hai

main ne halkaan kiya jis ki talab main khud ko
sach to yeh hai ke woh duniya bhi nahin chaiye hai

jeena mushkil to bohat hai teri is duniya main
lekin is khawb ko marna bhi nahin chahiye hai



thak ke bethoon to mujhe rasta nazar aye ga

Ghazal Shayari

thak ke bethoon to mujhe rasta nazar aye ga
shaam is dasht main guzre gi to ghar aye ga

soch kar meri mohabbat main qadam rakhna tum
is se aage to bohat lamba safar aye ga

muntazir aankhen kisi taaq main bujh jayen gi
koi ho ga hi nahin koi agar aye ga

seekh jaaon ga tere baad bhi jeena lekin
mujh ko ae dost tere hijr se Dar aye ga

mujh tak aate huye duniya usay roke gi bohat
ruk bhi jaye ga kisi raah main par aye ga

umar ke din to isi aas main kaT jaate hain
raat Dhal jaye gi aur waqt e sahar aye ga

waqt ki qaid se azaad maah o saal se duur
ik zamana hai ke jo baar-e-digar aye ga



mera nahin to woh apna hi kuch khayal kare

Ghazal Shayari

mera nahin to woh apna hi kuch khayal kare
usay kaho ke taluq ko phir bahaal kare

nigah e yaar na ho to nikhr nain paata
koi jamal ki jitni bhi dekhbhaal kare

mile to itni reyayat ataa kare mujh ko
mere jawab ko sun kar koi sawal kare

kalaam kar ke mere lafz ko sahulat mile
tera sakuut meri guftugu muhaal kare

na guzre waqt ka puche na aane wale ka
koi sawal kare bhi to hasb e haal kare

bulandiyon pe kahan tak tujhe talash karoon
har aik saans pe umar e ravaan zawaal kare

main us ka phool hoon sau nayyar us pe choR diya
woh gesuyon main sajaye ke payemaal kare



aisi wehshat pe main qurban bhi ho sakta hoon

Ghazal Shayari

aisi wehshat pe main qurban bhi ho sakta hoon
main jo darya hoon bayabaan bhi ho sakta hoon

hansne rone ke ilawa bhi rasayi hai meri
main agar chahoon to hairaan bhi ho sakta hoon

main ke jis khaak main pamaal hua jata hoon
main isi khaak pe ehsan bhi ho sakta hoon

mujh pe mushkil na banaa guzri hui yadon ko
main tujhe bhool ke asaan bhi ho sakta hoon

itne gham dete huye yeh bhi na socha us ne
main kisi gham main pareshan bhi ho sakta hoon

main ke jis shauq main abaad hoon maqsood wafa
main usi shauq main veeraan bhi ho sakta hoon



itni na apne naam ki har suu duhayi de

Ghazal Shayari

itni na apne naam ki har suu duhaayi de
jitna tujhe main sun sakoon utna sunayi de

mujh ko kisi bhi haal main khalqat ke sath rakh
jin ko khudayi chahiye un ko khudayi de

dekhe ga teergi main koi dil bujha hua
jalta hua charagh to sab ko dikhayi de

main tujh main reh ke khud se bohat door ho gaya
ae yaad-e-yaar ab mujhe mujh tak rasayi de

hum inteha e ishq ke raahi thay yaad kar
ab ranj de raha hai to phir intehayi de

us ka wajood mere tasawur ka maujza
jaisa main us ko soch loon wesa dikhayi de



zabt-e-girya main bhi girya to kiya hai maine

Ghazal Shayari

zabt-e-girya main bhi girya to kiya hai maine
chup raha hoon par tamasha to kiya hai maine

ab uRaaunga usay tere falak par ik din
apni miTi ko ikaTha to kiya hai maine

dekhiye kis ke khad-o-haal nazar aate hain
ek dewaar ko sheesha to kiya hai maine

ab main kuch aur banoon aesi bayabani main
TooT jaane ka irada to kiya hai maine

khul ke main vasl ki batain nahin karta phir bhi
baton baton main taqaza to kiya hai maine

pyar ki hadh hi nahin koi yeh maana lekin
jitna ho sakta hai utna to kiya hai maine

shayad aa jaye khabar apne ilawa hoon kahan
khud ko tanhai main tanha to kiya hai maine

mujh main tashkeek bhi sar apna uTha sakti hai
ae khuda tujh pe bharosa to kiya hai maine

jane ab kaun si gali main kahin nikloon ja kar
ek viraane main rasta to kiya hai maine

woh kahin hai ke nahin hai mujhe maloom nahin
apne hone ka ishara to kiya hai maine

ab faqat akhri ishq, akhri maqsood wafa
akhri ishq ko pehla to kiya hai maine



sabzz baaghon ki virasat ka baRa fayeda hai

Ghazal Shayari

sabzz baaghon ki virasat ka baRa fayeda hai
hum faqeeron ko aqeedat ka baRa fayeda hai

ik bhale shakhss ne hum par yeh haqeeqat kholi
hum samajhte thay mohabbat ka baRa fayeda hai

log to aag lagane se kamaa lete hain
kuch ko nafrat ki tijarat ka baRa fayeda hai

khud ko dikhte hain na auron ko nazar aate hain
hum ko is nuqs e basaarat ka baRa fayeda hai



tujh ko gilaa hai tera muqaddar nahin hua

Ghazal Shayari

tujh ko gilaa hai tera muqaddar nahin hua
main apne aap ko bhi muyassar nahin hua

hona na hona maine rakha apne hath main
dum bhar jahan main ho gaya dum bhar nahin hua

socha ke apne jism se bahar bhi ho rahoon
main uTh ke khaak se bhi hua par nahin hua

hota raha wohi jo nahin hona chahiye
hona jo chahiye tha woh aksar nahin hua

ghooma to apne aap talak aa ke ruk gaya
main dayera to ho gaya chakkar nahin hua

sab ko dikhayi de gaya woh husn e bezahoor
sab par yeh lutf ho gaya mujh par nahin hua

pathar mizaaj hai to miyan sang e meel ban
jo raste main ho ke bhi Thokar nahin hua

dastak bhi de ke dekh li sar bhi paThakh liya
deewar hi raha woh kabhi dar nahin hua

akhir mujhe saraab ne sairaab kar diya
main jo samandaron se kabhi tar nahin hua

ahista-ro woh aj bhi apni ravish pe hai
sab yaar tez ho gaye nayyar nahin hua


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari