Adeem Hashmi

Ranjish.com has lots of Urdu Adeem Hashmi Poetry. Feel free to add your own Adeem Hashmi Shayari here.

Adeem Hashmi Collection

Adeem Hashmi Adeem Hashmi

Adeem Hashmi is a well known Pakistani poet who has come up with few super hit poetry books. If you are looking for his poetry, then Ranjish.com is the ultimate place to read Adeem Hashmi Poetry.



Toot jaye na bharam hont hilaaon kese..

Adeem Hashmi

toot jaye na bharam

Toot jaye na bharam hont hilaaon kese,
Haal jesa bhi hai logon ko sunaaon kese,

Khushk ankhon se bhi ashkon ki mehak ati hai,
Main tere gham ko zamane se chupaaon kese,

Teri suurat hi meri ankhon ka sarmaya hai,
Tere chehre se nigaahon ko hattaaon kese,

Tu hi batlaa meri yaadon ko bhulaane wale,
Main teri yaad ko is dil se bhulaaon kese,

Phool hota to tere dar pe sajaa bhi deta,
Zakham le kar teri dehleez pe aaon kese,

Aayina maand parre saans bhi lene se adeem,
Itna naazuk ho taluq to nibhaaon kese,

Woh rulaata hai rulaye mujhe ji bhar ke adeem,
Meri aankhen hai woh main us ko rulaaon kese..



Urraa diye hain parinde shajjar pe bethe huye….

Adeem Hashmi

bicharr ke tujh se na dekha geya

Bicharr ke tujh se na dekha geya kisi ka milaap,
Urraa diye hain parinde shajjar pe bethe huye..



Us ne dard bhi apne elhaada kar liye..

Adeem Hashmi

Aaj us ne dard bhi apne elhaada kar liye,
Aj bhi roya to mere sath woh roya na tha..



Zindagi sirf issi dhun main guzarey jayen..

Adeem Hashmi

Zindagi sirf issi dhun main guzarey jayen,
Bass tera naam, tera naam pukarey jayen,

Jab yeh tay hai ke yahan koi nahin aye ga,
Kis ki khatir dar-o-deewar sanwarey jayen,

Aik tujh tak na pohanch paye mere dard ki aanch,
Aasman tak to mere gham ke sharaarey jayen,

Jab mulaqat na thi tab to koi baat na thi,
Ab yeh tanhai ke din kese guzarey jayen,

Yahan ghamkhawaar nahin hai wahan azaar nahin,
Kiss jahan mein yeh tere dard ke maarey jayen,

Main andheron mein nahin main to wahan jaon ga,
Woh jahan sath mere chaand sitarey jayen,

Jeet kar to kahin le jaye musalsal hum ko,
Aur hum roz teri chaah mein haarey jayen,

Marg*-e-jaan na sahi, marg-e-mohabbat hi sahi,
Zindagi kuch to tera qarzz utarey jayen,

Fasilon se na hua josh-e-mohabbat ka ilaaj,
Yeh to kuch aur bhi jazbon ko ubhaarey jayen,

Bazm-e-ehbaab to tasveer ka ik rukh hai Adeem,
Is mein dushman bhi to do chaar hamarey jayen,

Wassl ke baad mohabbat ki sazaa theek Adeem,
Maarey jayen bhi to kyon muft main maarey jayen..

(marg;casualty)



Dil ajab gumbad ke jin main

Adeem Hashmi

Dil ajab gumbad k jis main ik kabutar bhi nahin
itna viran to murdaron ka muqaddar bhi nahin

Dabati jati hain mitti main badan ki kashtiyan
dekhane main ye zamin koi samandar bhi nahin

jitne hangame the sukhi tahaniyon se jhar gaye
per par phal bhi nahin angan main patthar bhi nahin

Khushk tahani par parinda hai ki patta hai ?Adeem?
ashiyana bhi nahin jis ka koi par bhi nahin

jitni pyari hain meri dharati jo zanjirain ?Adeem?
itana pyara to kisi dulhan ko zevar bhi nahin


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Adeem Hashmi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari