Noshi Gilani

Ranjish.com has lots of Urdu Noshi Gilani Poetry. Feel free to add your own Noshi Gilani Shayari here.

Noshi Gilani Collection

Noshi Gilani

Noshi Gilani is a famous female poet belonging from Pakistan. She was born in Bahawalpur city. She has written few poetry books which include Mohabatain Jab Sumar Kurna, Udas Honay Kay Din Naheen, Pehla Lafz Mohabat Likha, Hum Tera Intezaar Kurtey Rahey and Hawa Chupke se Kehti Hai. Keep visiting us for more Noshi Gilani Poetry.



Acha maula teri marzi tu jis haal main rakhe..

Noshi Gilani

Hijr ki shab main qaid kare ya subh-e-visal main rakhe,
Acha maula teri marzi tu jis haal main rakhe,

Khel yeh kesa khel rahi hai dil se teri mohabbat,
Ik pal ki sarshari de aur dinon malal main rakhe,

Maine sari khushbuyen anchal se bandh ke rakhin,
Shayed in ka zikr tu apne kisi sawal main rakhe,

Kis se tere ane ki sargoshi ko sunte hi,
Maine kitne phool chune aur apni shal main rakhe,

Mushkil ban kar toot parri hai dil par yeh tanhai,
Ab jane yeh kab tak is ko apne jaal main rakhe..



Yeh meri umar, mere maah o saal de us ko..

Noshi Gilani

Noshi gilani poetry

Yeh meri umar, mere maah-o-saal de us ko,
Mere khuda mere dukh se nikaal de us ko,

Woh chup kharra hai keyi din se teri khatir to,
Kawaarr khol de azn-e-sawaal de us ko,

Azaab-e-badnazri ka jise shauur na ho,
Yeh meri aankhen, mere hadh-o-haal de us ko,

Yeh dekhna shab-e-hijraan ke kis ki dasstak hai,
Visaal rut hai agar woh, to ttaal de us ko,

Woh jis ka harf-e-duaa roshni hai mere liye,
Main bujh bhi jaaon to maula ujaal de us ko..



Mohabbat ki aseeri se rehaayi maangte rehna..

Noshi Gilani

mohabbat ki aseeri se

Mohabbat ki aseeri se rehaayi maangte rehna,
Bohat asaan nahin hota, judaayi maangte rehna,

Zara sa ishq kar lena, zara si aankh-bhar lena,
Iwwaz is ke magar saari khudaayi mangte rehna,

Kabhi mehroom hontton par duaa ka harf rakh dena,
Kabhi wehshat main us ki na-rasaayi mangte rehna,

Wafaaon ke tasalssul se mohabbat rooth jati hai,
Kahani main zara si bewafaayi maangte rehna,

Ajab hai wehshat-e-jaan bhi ke aadat ho gayi dil ki,
Sakoot-e-shaam gham se se humnawaayi mangte rehna,

Kabhi bache ke nanhe hath par titlee ke par rakhna,
Kabhi phir us ke rangon se rehaayi maangte rehna..



Teri khushbu nahin milti, tera lehja nahin milta..

Noshi Gilani

Teri khushbuu nahin milti, tera lehja nahin milta,
Humen to sheher main koi tere jaisa nahin milta,

Yeh kesi dhund main hum tum safar aghaaz kar bethe,
Tumhe ankhen nahin milti, humen chehra nahin milta,

Har ik tadbeer apni raayegaan thehri mohabbat main,
Kisi bhi khawb ko tabeer ka rasta nahin milta,

Bhala us ke dukhon ki raat ka koi mudaava hai,
Woh maan jis ko kabhi khoya hua bacha nahin milta..



Bohat tareek sehraa ho geya hai..

Noshi Gilani

Bohat tareek sehraa ho geya hai,
Havaa ka shor gehraa ho geya hai,

Kisi ke lamss ka yeh mojza hai,
Badan saara sunehra ho geya hai,

Yeh dil dekhoon ke jis ke chaar janib,
Teri yaadon ka pehraa ho geya hai,

Wohi hai haal-o-hadh me roshni si,
Pr til aankhon ka gehraa ho geya hai,

Kabhi uss shakss ko dekha hai tum ne,
Mohabbat se sunehraa ho geya hai..



Sheher walon se chup chupa kar kitab likhoon..

Noshi Gilani

Ajeeb khawhish hai sheher walon se chup chupa kar kitab likhoon,
Tumhare naam apni zindagi ki kitaab ka intisaab likhoon,

Woh lamha kitna ajeeb tha jab hamari aankhen gale mili theen,
Main kis tarah ab mohabbaton ki shikastagi ka azaab likhoon,

Tumhi ne mere ujaarr raston pe khawhishon ke diye jalaaye,
Tumhi ne chaaha tha khushhk honton se chahton ke gulaab likhoon,

Kabhi woh din they ke neend aankhon ki sarhadon se pare pare thi,
Magar ab jab bhi sona chaahon tumhari yaadon ke khawb likhoon,

Main tanha larrki dayaar -e-shab main jalaaon sach ke diye kahan tak,
Siyaah-kaaron ki saltanat me main kis tarah aftaab likhoon,

Qayaadton ke junoon main jin ke qadam lahuu se range huye hain,
Yeh mere bass main nahin hai ke logo ko izzat-maab likhoon,

Yehi bohat hai ke in labon ko sadaa se mehroom kar ke rakh doon,
Magar yeh kesi musaalahat hai samandron ko saraab likhoon..



Ab kis se kahen aur kon sune jo haal tumhare baad hua..

Noshi Gilani

Ab kis se kahen aur kon sune jo haal tumhare baad hua,
Is dil ki jheel si ankhon main ik khawb bohat barbaad hua,

Yeh hijr-hava bhi dushman hai is naam ke saare rangon ki,
Woh naam jo mere honton pr khushbuu ki tarah abaad raha,

Us sheher me kitne chehre they kuch yaad nahi sab bhool gaye,
Ik shakss kitabon jesa tha woh shakss zubaani yaad hua,

Woh apne gaaon ki galiyan thi dil jin main nachta gaata tha,
Ab iss se fark nahi parta nashaad hua ya shaad hua,

Benaam satayesh rehti thi in gehri saanvli aankhon main,
Aissa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedaad hua..

Watch Video



Ab apne faisle per khud ulajhne kyun lagi hoon..

Noshi Gilani

Ab apne faisle per khud ulajhne kyun lagi hoon,
Zara si baat par itna bikharne kyun lagi hoon,

Woh jiss mausam ki ab tak muntazir ankhen thi meri,
Ussi mausam se ab main itna darne kyun lagi hoon,

Mujhe nadeeda raston per safar ka shauq bhi tha,
Thakan paaon se liptti hai to marne kyun lagi hoon,

Mujhe yeh chaar deewari ki ronaq maar daale gi,
Main ik imkaan thi manzil ka mittne kyun lagi hoon,

Main jiss ko kam se kam mehsoos karna chahti thi,
Ussi ki baat ko itna samajhne kyun lagi hoon,

Jo mere dil ki galiyon se kabhi guzra nahin tha,
Ab apne hath se khat us ko likhne kyun lagi hoon,

Badan ki raakh tak bhi raston main na bache gi,
Barasti baarishon main yoon sulagne kyun lagi hoon,

Wohi suraj hai dukh ka phir yeh aesa kya hua hai,
Main pathar thi to akhir ab pighalne kyun lagi hoon..



Mohabtain jab shumaar karna to sazishen bhi shumaar karna..

Noshi Gilani

Mohabtain jab shumaar karna to sazishen bhi shumaar karna,
Jo mere hisse main aayi hain woh aziyaten bhi shumaar karna,

Jalaye rakhoon gi subah tak main tumhare raste mein apni ankhen,
Magar kahin zabt toot jaye to barishen bhi shumaar karna,

Jo harf loh-e-wafaa pe likhe huye hain in ko bhi dekh lena,
Jo raayegan ho gayin woh sari ibaartain bhi shumaar karna,

Yeh sardiyon ka udaas mausam ke dharrkne barf ho gayi hain,
Jab in ki yakh-bastgi parakhna, tamaazten bhi shumaar karna,

Tum apni majbooriyon ke qisse zaroor likhna wazahton se,
Jo meri ankhon main jal bujhi hain woh khawhishen bhi shumaar karna..

Watch Video



Kissi harf main kissi baab main nahin aye ga..

Noshi Gilani

noshi gilani poetry

Kissi harf main kissi baab main nahin aye ga,
Tera zikar meri kitaab main nahin aye ga,

Nahin jaye gi kisi ankh se kahin roshni,
Koi khawb is ke azaab main nahin aaye ga,

Koi khud ko sehraa nahin kare ga meri tarah,
Koi khawhishon ke saraab main nahin aye ga,

Dil-e-badgumaan tere mausmon ko naveed ho,
Koi khaar dast-e-gulab main nahin aye ga,

Usay lakh dil se pukaar lo usay dekh lo,
Koi aik harf jawab main nahin aye ga,

Teri raah takte rahe agarche khabar bhi thi,
Ke yeh din bhi tere hisaab main nahin aye ga..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Noshi Gilani.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari