Bahadur Shah Zafar

Ranjish.com has lots of Urdu Bahadur Shah Zafar Poetry. Feel free to add your own Bahadur Shah Zafar Shayari here.

Bahadur Shah Zafar Collection

Bahadur Shah Zafar Bahadur Shah Zafar
1775-1862

Bahadur Shah Zafar was the last Mughal emperor and a famous poet. His real name was Mirza Abu Zafar Sirajuddin Muhammad Bahadur Shah Zafar but he decided to choose Zafar as his pen name.
He was a prominent poet of his times. He lost his poetry collection during a war but lots of collection was saved.
Bahadur Shah Zafar Poetry can be read right here at Ranjish.com .



Baat karni mujhe mushkil kabhi aesi to na thi..

Bahadur Shah Zafar

baat karni mujhe mushkil kabhi aesi to na thi

Baat karni mujhe mushkil kabhi aesi to na thi,
Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi,

Le geya chheen ke kaun aaj tera sabr-o-qaraar,
Beqaraari tujhe ae dil kabhi aesi to na thi,

Uss ki ankhon ne khuda jaane kiya kya jaadu,
Ke tabiyat meri maayel kabhi aisi to na thi,

Akss-e-rukhsaar ne kis ke hai tujhe chamkaaya,
Taab tujh main mah-e-kamil kabhi aesi to na thi,

Ab ke jo raah-e-mohabbat main uthaayi takleef,
Sakht hoti humen manzil kabhi aisi to na thi,

Nigaah-e-yaar ko ab kyun hai taghaaful ae dil,
Woh tere haal se ghaafil kabhi aisi to na thi,

Chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin,
Jaisi ab ho gayi qaatil kabhi aesi to na thi,

Kya sabbab tu jo bigarrta hai “zafar” se har baar,
Khuu teri huur-shamaayel kabhi aesi to na thi..



Lagta nahii hai dil mera ujrre dayaar mein..

Bahadur Shah Zafar

in hasraton se keh do kahin aur ja basen

Keh do in hasraton se kahin aur ja basen..

Lagta nahii hai dil mera ujrre dayaar mein,
Kis ki bannii hai aalam e na-paayedaar mein,

Keh do in hasraton se kahin aur ja basen,
Itni jagah kahan hai dil-e-daaghdaar main,

Umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din,
Do aarzuu mei katt gaye do intizaar main,

Kaanton ko mat nikaal chaman se o baaghbaan,
Yeh bhi gulon ke saath pale hain bahaar main,

Bulbul se koi shikwa na sayaad se gila,
Qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar main,

Kitna hai bdnaseeb “zafar” dafn ke liye,
Do gaz zameen bhi na mili kuu-e-yaar main..



Hai ishq ki manzil mein haal ke jese,,

Bahadur Shah Zafar

Hai ishq ki manzil mein haal ke jese,
Lutt jaye kahin raah mein samaan kisi ka..

Bahadur Shah Zafar



Bharrkatey ho tum to aag mohabbat ki

Bahadur Shah Zafar

Aur zeyada bharrkatey ho tum to aag mohabbat ki,
Sozish-e-dil ko aye ashko, Kya khaak bhujana seekhey ho…

(Sozish-e-dil:Heartbreak)(Ashko:Tears)



Dil jaan lete hain dilbar

Bahadur Shah Zafar

khulta nahin hai hal kisi par kahe bagair
par dil ki jan lete hain dilbar kahe bagair

main kyunkar kahun tum ao k dil ki kashish se wo
ayenge daure ap mere ghar kahe bagair

kya tab kya majal hamari k bosa len
lab ko tumhare lab se milkar kahe bagair

bedard tu sune na sune lek dard-e-dil
rahta nahin hai ashiq-e-muztar kahe bagair

taqdir k siwa nahin milta kahin se bhi
dilawata ai ?Zafar? hai muqaddar kahe bagair


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Bahadur Shah Zafar.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari