zabt-e-girya main bhi girya to kiya hai maine

zabt-e-girya main bh..

zabt-e-girya main bhi girya to kiya hai maine
chup raha hoon par tamasha to kiya hai maine

ab uRaaunga usay tere falak par ik din
apni miTi ko ikaTha to kiya hai maine

dekhiye kis ke khad-o-haal nazar aate hain
ek dewaar ko sheesha to kiya hai maine

ab main kuch aur banoon aesi bayabani main
TooT jaane ka irada to kiya hai maine

khul ke main vasl ki batain nahin karta phir bhi
baton baton main taqaza to kiya hai maine

pyar ki hadh hi nahin koi yeh maana lekin
jitna ho sakta hai utna to kiya hai maine

shayad aa jaye khabar apne ilawa hoon kahan
khud ko tanhai main tanha to kiya hai maine

mujh main tashkeek bhi sar apna uTha sakti hai
ae khuda tujh pe bharosa to kiya hai maine

jane ab kaun si gali main kahin nikloon ja kar
ek viraane main rasta to kiya hai maine

woh kahin hai ke nahin hai mujhe maloom nahin
apne hone ka ishara to kiya hai maine

ab faqat akhri ishq, akhri maqsood wafa
akhri ishq ko pehla to kiya hai maine


send poetry

Designed Shayari, Ghazal Shayari, Maqsood Wafa
January 29th, 2022

Comments are closed.

Maqsood Wafa
Maqsood Wafa
Poetries: 8
Separator
love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari