Maqsood Wafa
Ranjish.com has lots of Urdu Maqsood Wafa Poetry. Feel free to add your own Maqsood Wafa Shayari here.Maqsood Wafa Collection
Maqsood Wafa is a prominent Urdu poet from Faisalabad. He is well known among the literary gatherings across the city, country and even world.
Lets all read Maqsood Wafa ghazals and nazams.
kaam is dil ki tabahi se liya kya jaye
Maqsood Wafa
kaam is dil ki tabahi se liya kya jaye
sochta hoon ke kharabe main kiya kya jaye
ae kisi yaad ki khiRki se guzarte mausam
kya diya jaye tujhe aur liya kya jaye
is garebaan ko kisi mauj main aa kar maine
chaak agar kar hi liya hai to siya kya jaye
teri khawhish ke kisi akhri darwaze par
marna mumkin na rahe gar to jiya kya jaye
tujh se ab dard ka rishta bhi nahin chahiye hai
Maqsood Wafa
tujh se ab dard ka rishta bhi nahin chahiye hai
ja mujhe teri tamanna bhi nahin chahiye hai
dekh kuch bhi na sakoon main kisi saye ke siwa
raushni itni zeyada bhi nahin chahiye hai
ik nazar tishna e nazaara hi rakh leni hai
ik tamashe main tamasha bhi nahin chahiye hai
khair o shar dono mujhe zakhm diye jate hain
yeh bura kya mujhe acha bhi nahin chahiye hai
ab zara chahiye tanhai main yaksui mujhe
ab koi chahne wala bhi nahin chahiye hai
main ne halkaan kiya jis ki talab main khud ko
sach to yeh hai ke woh duniya bhi nahin chaiye hai
jeena mushkil to bohat hai teri is duniya main
lekin is khawb ko marna bhi nahin chahiye hai
thak ke bethoon to mujhe rasta nazar aye ga
Maqsood Wafa
thak ke bethoon to mujhe rasta nazar aye ga
shaam is dasht main guzre gi to ghar aye ga
soch kar meri mohabbat main qadam rakhna tum
is se aage to bohat lamba safar aye ga
muntazir aankhen kisi taaq main bujh jayen gi
koi ho ga hi nahin koi agar aye ga
seekh jaaon ga tere baad bhi jeena lekin
mujh ko ae dost tere hijr se Dar aye ga
mujh tak aate huye duniya usay roke gi bohat
ruk bhi jaye ga kisi raah main par aye ga
umar ke din to isi aas main kaT jaate hain
raat Dhal jaye gi aur waqt e sahar aye ga
waqt ki qaid se azaad maah o saal se duur
ik zamana hai ke jo baar-e-digar aye ga
aisi wehshat pe main qurban bhi ho sakta hoon
Maqsood Wafa
aisi wehshat pe main qurban bhi ho sakta hoon
main jo darya hoon bayabaan bhi ho sakta hoon
hansne rone ke ilawa bhi rasayi hai meri
main agar chahoon to hairaan bhi ho sakta hoon
main ke jis khaak main pamaal hua jata hoon
main isi khaak pe ehsan bhi ho sakta hoon
mujh pe mushkil na banaa guzri hui yadon ko
main tujhe bhool ke asaan bhi ho sakta hoon
itne gham dete huye yeh bhi na socha us ne
main kisi gham main pareshan bhi ho sakta hoon
main ke jis shauq main abaad hoon maqsood wafa
main usi shauq main veeraan bhi ho sakta hoon
zabt-e-girya main bhi girya to kiya hai maine
Maqsood Wafa
zabt-e-girya main bhi girya to kiya hai maine
chup raha hoon par tamasha to kiya hai maine
ab uRaaunga usay tere falak par ik din
apni miTi ko ikaTha to kiya hai maine
dekhiye kis ke khad-o-haal nazar aate hain
ek dewaar ko sheesha to kiya hai maine
ab main kuch aur banoon aesi bayabani main
TooT jaane ka irada to kiya hai maine
khul ke main vasl ki batain nahin karta phir bhi
baton baton main taqaza to kiya hai maine
pyar ki hadh hi nahin koi yeh maana lekin
jitna ho sakta hai utna to kiya hai maine
shayad aa jaye khabar apne ilawa hoon kahan
khud ko tanhai main tanha to kiya hai maine
mujh main tashkeek bhi sar apna uTha sakti hai
ae khuda tujh pe bharosa to kiya hai maine
jane ab kaun si gali main kahin nikloon ja kar
ek viraane main rasta to kiya hai maine
woh kahin hai ke nahin hai mujhe maloom nahin
apne hone ka ishara to kiya hai maine
ab faqat akhri ishq, akhri maqsood wafa
akhri ishq ko pehla to kiya hai maine
jagta rehta hoon aur khiRki khuli rehti hai
Maqsood Wafa
jagta rehta hoon aur khiRki khuli rehti hai
kya khushi hai ke museebat hi paRi rehti hai
itni deewaren gira kar bhi yehi dekha hai
ek deear meri raah main khaRi rehti hai
bagh main bikhre huye rang bohat zalim hain
baaz goshon main to veerani paRi rehti hai
hijr main vasl ke phal-phool khile rehte hain
shaakh bichRe huye mausam se bhari rehti hai
ek veerana hai jo sheher ko kha jata hai
ek basti hai jo jungle main basi rehti hai
ab woh khush-chehra si khatoon kahan par hogi
fikr si koi mere jee ko lagi rehti hai
hadh se baRhti hui vehshat bhi ajab shai hai wafa
mere chehre pe kisi gham ki hansi rehti hai
mausam-e-girya guzar jata hai maqsood wafa
meri dewaar pe barish ki nami rehti hai
tumhare hijr ka anjam khoobsurat hai
Maqsood Wafa
tumhare hijr ka anjam khoobsurat hai
bohat udaas magar shaam khoobsurat hai
phir is ke baad yeh rasta kahan ko jata hai
yeh zindagi to koi gaam khoobsurat hai
tu jis tarah se haseen hai zamane bhar se
usi tarah se tera naam khoobsurat hai
nahin zaroori ke har baat ki wazahat ho
kahin kahin pe yeh ibhaam khoobsurat hai
main is liye deta safayi apni wafa
mere hareef ka ilzaam khoobsurat hai
is gham ko ikhteyar nahin kar raha hoon main
Maqsood Wafa
is gham ko ikhteyar nahin kar raha hoon main
yeh to nahin ke pyar nahin kar raha hoon main
apni udasiyon ke nashe main hoon aaj kal
shughal e khum o khumaar nahin kar raha hoon main
kuch dair se hai rang e tamasha ruka hua
ik teer dil se paar nahin kar raha hoon main
ab dekhta hoon raah main duniya saji hai
ab tera intezar nahin kar raha hoon main
main aap apna dard jagata hoon raat bhar
kuch tum pe inhisaar nahin kar raha hoon main
le rakh tu apna harf e tasalli bhi paas rakh
yeh koi karobar nahin kar raha hoon main
main zeest kar raha hoon yeh tum ko khabar nahin
tum par to jan nisaar nahin kar raha hoon main
hai dasht yeh bhi hadh e tasavur main is liye
is dasht ko bhi paar nahin kar raha hoon main
kya raaz hai ke jis ko batane se peshtar
apna bhi aitbar nahin kar raha hoon main
yun to rahe ho tum bhi saf-e-dushmana main dost
lekin tumhe shumaar nahin kar raha hoon main
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Maqsood Wafa.