Hafeez Jalandhari

Ranjish.com has lots of Urdu Hafeez Jalandhari Poetry. Feel free to add your own Hafeez Jalandhari Shayari here.

Hafeez Jalandhari Collection

Hafeez Jalandhari Hafeez Jalandhari
1900-1982

Hafeez Jalandhari was born in Jalandhar, India. He is known for writing the national anthem of Pakistan. He also worked as editor of various monthly magazines like Nonehal, Hazar Dastaan, Teehzeeb-e-Niswan, and Makhzin.
Ranjish.com is the right place to read Hafeez Jalandhari Poetry.



Hafeez apni boli mohabbat ki boli..

Hafeez Jalandhari

Hafeez apni boli mohabbat ki boli,
Na urdu na hindi na hindustani..



Hum hi main thi na koi baat yaad na tum ko aa sake..

Hafeez Jalandhari

hafeez jalandhari poetry

Hum hi main thi na koi baat yaad na tum ko aa sake,
Tum ne humen bhulaa diya hum na tumhe bhulaa sake,

Tum hi na sun sake agar qissa -e- gham sunay ga kon,
Kis ki zabaan khule gi phir hum na agar sunaa sake,

Hosh main aa chuke thay hum josh main aa chuke thay hum,
Bazm ka rang dekh kar sar na magar uthaa sake,

Ronaq-e-bazm ban gaye lab pe hikayaten rahin,
Dil main shikayaten rahin lab na magar hilaa sake,

Shauq-e-visaal hai yahan lab pe sawal hai yahan,
Kisi ki majaal hai yahan hum se nazar mil sake,

Aesa ho koi nama-e-bar baat pe kaan dhar sake,
Sun ke yaqeen kar sake ja ke unhe sunaa sake,

Ajazz se aur barrh gayi barhami mizaj-e-dost,
Ab woh kare ilaaj dost jis ki samajh main aa sake,

Ehl-e-zabaan to hain bohat koi nahin hai ehl-e-dil,
Kon teri tarah hafeez dard ke geet gaa sake..



Doston ko bhi mile dard ki daulat ya rab..

Hafeez Jalandhari

Doston ko bhi mile dard ki daulat ya rab,
Mera apna hi bhalla ho mujhe manzuur nahin..



Iss qadar pyar se na dekh mujhe..

Hafeez Jalandhari

Iss qadar pyar se na dekh mujhe,
Phir tamanna jawaan na ho jaye..



Yeh meri raat ka sawera hai

Hafeez Jalandhari

ab to kuch aur bhi andhera hai
ye meri rat ka sawera hai

rahzanon se to bhag nikla tha
ab mujhe rahbaron ne ghera hai

age age chalo tabar walo
abhi jangal bahut ghanera hai

qafila kis ki pairawi mein chale
kaun sab se bara lutera hai

so raho ab ?Hafeez?ji tum bhi
ye nai zindagi ka dera hai


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Hafeez Jalandhari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari