jagta rehta hoon aur khiRki khuli rehti hai
jagta rehta hoon aur..

jagta rehta hoon aur khiRki khuli rehti hai
kya khushi hai ke museebat hi paRi rehti hai
itni deewaren gira kar bhi yehi dekha hai
ek deear meri raah main khaRi rehti hai
bagh main bikhre huye rang bohat zalim hain
baaz goshon main to veerani paRi rehti hai
hijr main vasl ke phal-phool khile rehte hain
shaakh bichRe huye mausam se bhari rehti hai
ek veerana hai jo sheher ko kha jata hai
ek basti hai jo jungle main basi rehti hai
ab woh khush-chehra si khatoon kahan par hogi
fikr si koi mere jee ko lagi rehti hai
hadh se baRhti hui vehshat bhi ajab shai hai wafa
mere chehre pe kisi gham ki hansi rehti hai
mausam-e-girya guzar jata hai maqsood wafa
meri dewaar pe barish ki nami rehti hai
Designed Shayari, Ghazal Shayari, Maqsood Wafa
January 25th, 2022