Hussani Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Hussani Shayari Poetry. Feel free to add your own Hussani Shayari Shayari here.Hussani Shayari Collection
Hussaini Shayari and Karbala Poetry is poetry on Hazrat Hussain, who is a prophet. Hussani Shayari is loved by people who are fans of Hazrat Hussain and who follow Hazrat Hussain a lot. We have lots of Hussani Shayari for you.
Balaa ke gham uthaye ja rahe hain..
Hussani Shayari
Balaa ke gham uthaye ja rahe hain
Jafaa ke teer khaye ja rahe hain
Fida karne ko deen-e-mustafa par
Ali akbar sajaye ja rahe hain
Qadam dosh-e-nabuat par thay jin ke
Woh kanton par chalaye ja rahe hain
Jahan be-izn ate thay na Jibreel
Woh kashane jalaye ja rahe hain
Bithate thay Nabi kaandhe pe jin ko
Woh naizon se giraye ja rahe hain
Hua tha jon qayem jin se parda
Woh bazaron main laye ja rahe hain
Insaan ko baidaar to ho lene do..
Hussani Shayari
Insaan ko baidaar to ho lene do,
Har qaum pukaray gi hamare hain Hussain..
Hussain tum nahin rahe..
Hussani Shayari
Hussain tum nahin rahe tumhara ghar nahin raha,
Magar tumhare baad zaalimon ka ddar nahin raha..
Islam zinda hota hai har karbala ke baad..
Hussani Shayari
Har ibtidaa se pehle har inteha ke baad,
Zaat-e-Nabi buland hai, zaat-e-Khuda ke baad,
Duniya main ehtraam ke qaabil hain jitne log,
Main sab ko maanta hoon magar mustafa ke baad,
Qatal-e-hussain assal main marg-e-yazeed hai,
Islam zinda hota hai har karbala ke baad..
Hussain tum nahin rahe tumhara ghar nahi raha..
Hussani Shayari
Hussain tum nahin rahe tumhara ghar nahi raha,
Magar tumhare baad zaalimon ka ddar nahi raha..
Na pooch mera hussain (as) kya hai ..
Hussani Shayari
Na pooch mera hussain (as) kya hai ?
Jahan-e-azme wafa ka paikar,
Khrad ka markaz, junoon ka mehwar,
Jamal-e-zehra (as), jamal-e-haider (as),
Zameer-e-inssan, naseer-e-daawar,
Zameen ka dil, asmaan ka yaavar,
Dayar-e-sabro reza ka dilbar,
Kamal-e-eessar ka payambar,
Shaoor-e-aman –o-sukoon ka paykar,
Jabeen-e-insaaniyat ka jhoomar,
Arab ka sehra, ajam ka zewar,
Hussain (as) tasweer-e-ambiya hai,
Na pooch mera hussain (as) kya hai?
Hussain (as) ahl-e-wafa ki bastee,
Hussain (as) aayeen-e-haq parsatee,
Hussain (as) sidq-o-safa ka saathee,
Hussain (as) chashme ana kee mastee,
Hussain (as) pesh-az- adam tasawoor,
Hussain (as) baad az qayam-e-hastee,
Hussain (as) ne zindagee bikheree,
Faza se warna qaza barastee,
Urooj-e-haft, aasmaan-e- azmat,
Hussain (as) ke naqsh-e-pa ki masti,
Hussain (as) ko khuld me na dhoondo,
Hussain (as) mehnga, hai khuld sastee,
Hussain (as) maqsoom-e-deen–o-imaan,
Hussain (as) mafhoom-e- “hal ata” hai,
Na pooch mera hussain (as) kya hai?
Hussain (as) dil hai, hussain (as) jaan hai,
Hussain (as)quraan kee zaban hai,
Hussain (as) irfaan kee saltanat hai,
Hussain (as) sarkaar –e-do jahan hai,
Hussain (as) sajdon kee sar zameen hai,
Hussain (as) zahnon ka asmaan hai,
Hussain (as) zakhmo bharee jabeen hai ..
Is Qadar Roya Main Sun ke Dastan-E-Karbala..
Hussani Shayari
Is Qadar Roya Main Sun k Dastan-E-Karbala,
Main To Hindu Hi Raha, Aankhein Hussaini Ho Gayin…
Rajinder Kumar
Kya sirf musaaan ke pyaarey hain Hussain..
Hussani Shayari
Kya sirf musaaan ke pyaarey hain Hussain,
Chiraag-e-noh bashar ke tarey hain Hussain,
Insaan ko baidaar to ho lene do zara tum,
Har qaum pukaarey gi hamarey hain Hussain..
Jab karbala main daakhla shah-e-deen hua..
Hussani Shayari
Jab karbala main daakhla shah-e-deen hua,
Sar jhuk geya falak ka, Yeh auj-e-zameen hua,
Dasht balaa namoona khalad bareen hua,
Khursheed mehv-e-husn, Hussain haseen hua,
Paaya firogh neer deen ke zahoor se,
Jungle ko chaand lag gaye chehre ke noor se..
Jahan Jahan Uthi Nazar, Hussain Hi Hussain Hain..
Hussani Shayari
Jahan Jahan Uthi Nazar,
Hussain Hi Hussain Hain,
Shajar Shajar, Samar Samar,
Hussain Hi Hussain Hain,
Zameen Se Aasman Talak Nazar Gayi Jahan,
Dua Dua, Asar Asar,
Hussain Hi Hussain Hain,
NABI ki Pusht-e-Pak Ho,
Ya Karbala Ki Khaak Ho,
Ghuroor-e-Sajda Jis Ka Sar,
Hussain Hi Hussain Hain,
Jo Zair-e-Taigh, La-Ilah
Kaha To Keh Utha Khuda,
Hai Jis Pe Mujh Ko Naaz Woh,
Hussain Hi Hussain Hain,
Kata Ke Sar, Luta Ke Ghar,
Karay Jo Sajda Khaak Par,
Zameen Pe aisa Moa’tbar,
Hussain Hi Hussain Hain..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Hussani Shayari.