Gham Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Gham Shayari Poetry. Feel free to add your own Gham Shayari Shayari here.Gham Shayari Collection
Gham Shayari is poetry on sadness and sorowness. People read Gham Shayari when they feel hurt and ignored. Lots of Gham Poetry or Gham Shayari can be found here for our users to read and enjoy.
Aaj kya puraane gham muyassar aaye.
Gham Shayari
Aaj kya puraane gham muyassar aaye,
Yaad tum apni inaayat se barrh kar aye..
Aik wehshat hai ke hoti hai achaanak taari..
Gham Shayari
Aik wehshat hai ke hoti hai achaanak taari,
Aik gham hai ke yaka’yak* hi ubal parrta hai..
(yaka’yak:achaanak, suddenly)
Ik kiran bhi to nahi gham ki andheri raat mein..
Gham Shayari
Ik kiran bhi to nahi gham ki andheri raat mein,
Koi jugnu, koi aansu, koi taara kuch to ho..
Aashnaa hona tha kisi taur gham se..
Gham Shayari
Aashnaa hona tha kisi taur gham se,
Tum na hote to kisi aur se bichrre hote..
Tere gham ke siwaa zamane mein..
Gham Shayari
Tere gham ke siwaa zamane mein,
Kon se gham ka ilaaj naheen…
Aye gham-e-zindagi na ho naraaz..
Gham Shayari
Aye gham-e-zindagi na ho naraaz,
Mujhe ko aadat hai muskuraane ki..
Ghamon se ulajh kar jeena meri fitrat hai..
Gham Shayari
Ghamon se ulajh kar muskurana meri fitrat hai,
Mujhe nakamiyon per asshk bahana nahi ata..
Khareed loon ga teri saari udaasiyan..
Gham Shayari
Khareed loon ga teri saari udaasiyan,
Sikkay mere mizzaj ke jis din chal gaye..
Tumhe kis baat ka gham hai..
Gham Shayari
Agar woh pooch lein hum se, tumhe kis baat ka gham hai,
To phir kis baat ka gham hai, agar woh pooch lein hum se..
Liptta hai mere dil se kisi raaz ki maanind..
Gham Shayari
Liptta hai mere dil se kisi raaz ki maanind,
Woh shakhss jis ko mera hona bhi nahin hai..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Gham Shayari.