Allama Iqbal

Ranjish.com has lots of Urdu Allama Iqbal Poetry. Feel free to add your own Allama Iqbal Shayari here.

Allama Iqbal Collection

Allama Iqbal Poetry Allama Iqbal
1877-1938

Allama Iqbal was the pioneer of urdu poetry. Even today Allama Iqbal Poetry is an inspiration for youth of pakistan. Allama Iqbal was the one who dreamed of Pakistan. Stating Allama Iqbal the GodFather of Urdu Poetry will not be wrong at all.
Ranjish.com is the ultimate place to find and read Allama Iqbal Poetry.



Aqal ko tanqeed se fursat nahin..

Allama Iqbal

Aqal ko tanqeed se fursat nahin,
Ishq par aamaal ki bunyaad rakhe..



Amal se zindagi banti hai jannat bhi jahanum bhi..

Allama Iqbal

Amal se zindagi banti hai jannat bhi jahanum bhi,
Yeh khaaki apni fitrat main na nuri hai na nari hai..



Mana ke teri deed ke qabil nahin hoon main..

Allama Iqbal

Mana ke teri deed ke qabil nahin hoon main,
Tu mera shauq dekh, mera intezaar dekh..



Acha hai dil ke sath rahe pasbaan-e-aqal..

Allama Iqbal

Acha hai dil ke sath rahe pasbaan-e-aqal,
Lekin kabhi kabhi isay tanha bhi chorr de..



Nasha pilaa ke girana to sab ko ata hai..

Allama Iqbal

Nasha pilaa ke girana to sab ko ata hai,
Maza to tab hai ke girton ko thaam le saaqi..



Jis khet se dehqaan ko mayassar nahin rozi..

Allama Iqbal

Jis khet se dehqaan ko mayassar nahin rozi,
Us khet ke har khoshaa-e-gandum ko jalaa do..



Aqqal ggo aastaan se door nahin..

Allama Iqbal

allama iqbal poetry

Aqqal ggo aastaan se door nahin,
Us ki taqdeer main huzoor nahin,

Dill-e-beena bhi kar khuda se talabb,
Aankh ka noor dil ka noor nahin,

Ilm main bhi suroor hai lekin,
Yeh woh jannat hai jis main huur nahin,

Kya ghazab hai ke is zamaane main,
Ek bhi saahib-e-surooor nahin,

Ik junoon hai ke baa-shauur bhi hai,
Ik junoon hai ke baa-shauur nahin,

Na-suburi hai zindagi dil ki,
Aah woh dil ki na-subuur nahin,

Be-huzuri hai teri maut ka raaz,
Zinda ho tu to be-huzur nahin,

Har gohar se sadaf ko torr diya,
Tu hi aamaada-e-zuhuur nahin,

Areni main bhi keh raha hoon magar,
Yeh hadeess-e-kalimm-o-tuur nahin..



Sitaaron se aagay jahan aur bhi hain..

Allama Iqbal

sitaron se agay jahan aur bhi hain

Sitaaron se agay jahan aur bhi hain,
Abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain,

Tahi zindagi se nahin yeh fazaayen,
Yahan sainkrron kaarwaan aur bhi hain,

Qanaaat na kar aalam-e- rang-o-buu pr,
Chaman aur bhi aashiyaan aur bhi hain,

Agar kho geya ik nasheman to kya gham,
Maqamaat aah-o-faghaan aur bhi hain,

Tu shaaheen hai parvaaz hai kaam tera,
Tere saamne aasmaan aur bhi hain,

Isi roz-o-shab main ulajh kar na reh ja,
Ke tere zamaan-o-makaan aur bhi hain,

Gaye din ke tanhaa tha main anjumann main,
Yahan ab mere raazdaan aur bhi hain..



Jinhen main dhoondta tha asmanon mein zameenon main..

Allama Iqbal

Jinhen main dhoondta tha asmanon mein zameenon main,
Woh nikle mere zulmat khana-e-dil ke makeenon main,

Kabhi apna bhi nazaara kiya hai tu ne ae majnoon,
Ke laila ki tarah tu bhi hai mehmil-nasheenon main,

Mahine vasl ke gharriyon ki surat urrte jaate hain,
Magar gharriyan judaayi ki guzarti hain maheenon main,

Mujhe roke ga tu ae na-khuda kya gharaq hone se,
Ke jin ko doobna ho, doob jate hain safeenon main,

Jalaa sakti hai shama-e-kushta ko mauj-e-naffas in ki,
Elahi! Kya chupaa hota hai ehl-e-dil ke seenon main,

Na puch in kharqa poshon ki, iradat ho to dekh in ko,
Yadd-e-baiza liye baithe hain apni aasteenon main,

Kisi aese sharar se phoonk apne kharman-e-dil ko,
Ke khurshid-e-qayamat bhi ho tere khoshaa-cheenon main,

Mohabbat ke liye dil dhoond koi tootne wala,
Ye woh mai hai jise rakhte hain nazuk aabgeenon main,

Saraapa husn ban jata hai jis ke husn ka ashiq,
Bhala ae dil haseen aesa bhi hai koi haseenon main,

Numayan ho ke dikhla de kabhi in ko jamaal apna,
Bohat muddat se charche hain tere baareek beenon main,

Khamosh ae dil! Bhari mehfil mein chillaana nahin acha,
Adab pehla qareena hai mohabbat ke qareenon main,

Bura samajhun inhe, mujh se to aesa ho nahin sakta,
Ke main khud bhi to hun iqbal apne nukta-cheenon main..

Watch Video



Tere ishq ki intehaa chahta hoon..

Allama Iqbal

tere ishq ki intehaa chahta hon

Tere ishq ki intehaa chahta hoon,
Meri saadgi dekh kya chahta hoon,

Sitam ho ke ho vaada-e-be-hijaabi,
Koi baat sabar-aazmaa chahta hoon,

Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko,
Ke main aap ka saamna chahta hoon,

Zara sa to dil hoon magar shokh itna,
Wohi lan-taraani sunaa chahta hoon,

Koi dum ka mehmaan hon ehl-e-mehfil,
Charaagh-e-sehar hoon bhujaa chahta hoon,

Bharii bazm main raaz ki baat keh di,
Bara be-adab hoon sazaa chahta hoon..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Allama Iqbal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari