Sahir Ludhianvi

Ranjish.com has lots of Urdu Sahir Ludhianvi Poetry. Feel free to add your own Sahir Ludhianvi Shayari here.

Sahir Ludhianvi Collection

Sahir Ludhianvi
1921-1980

Sahir Ludhianvi is well known poet from India. Here we have random collection of his poetries from his several poetry books.



Apni tabahiyon ka mujhe koi gham nahin..

Sahir Ludhianvi

Apni tabahiyon ka mujhe koi gham nahin,
Tum ne kisi ke sath mohabbat nibha to di..



Abhi na cheRr mohabbat ke geet ae mutrib..

Sahir Ludhianvi

Abhi na cheRr mohabbat ke geet ae mutrib,
Abhi hayat ka mahol khush-gawar nahin..



Aap daulat ke tarazu main dilon ko taulen..

Sahir Ludhianvi

Aap daulat ke tarazu main dilon ko taulen,
Hum mohabbat se mohabbat ka sila dete hain..



Main zindagi ka sath nibhata chala geya..

Sahir Ludhianvi

Main zindagi ka sath nibhata chala geya,
Har fikr ko dhuyen main urrata chala geya,

Barbadiyon ka sog manana fazool tha,
Barbadiyon ka jashan manata chala geya,

Jo mil geya usi ko muqaddar samajh liya,
Jo kho geya main us ko bhulata chala geya,

Gham aur khushi main farq na mehsuus ho jahan,
Main dil ko us maqaam pe lata chala geya..

میں زندگی کا ساتھ نبھاتا چلا گیا - ساحر لدھیانوی



Kabhi kabhi mere dil main khayaal ata hai..

Sahir Ludhianvi

Kabhi kabhi mere dil main khayaal ata hai,

Ke zindagi teri zulgon ki narm chaaon main,
Guzarne paati to shadaab ho bhi sakti thi,

Yeh teergi jo meri zeest ka muaqaddar hai,
Teri nazar ki shuaaon main kho bhi sakti thi,

Ajab na tha ke main begana-e-alam ho kar,
Tere jamaal ki raaa-nayion main kho rehta,

Tera gudaaz badan teri neem-baaz ankhen,
Inhin haseen fasaanon main mehvv ho rehta,

Pukaartin mujhe jab talkhiyaan zamane ki,
Tere labon se halaavat ke ghoont pe leta,

Hayaat cheekhti phirti barhana sar aur main,
Ghaneri zulfon ke saaye main chhup ke jee leta,

Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai,
Ke tu nahin tera gham teri justaju bhi nahin,

Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise,
Isay kisi ke sahaaray ke aarzuu bhi nahin,

Zamane bhar ke dukhon ko laga chuka hoon galay,
Guzar raha hoon kuch anjani rah-guzaaron se,

Muheeb saaye meri samt barrhte aatey hain,
Hayaat o maut ke pur-haul kharzaaron se,

Na koi jaada-e-manzil na raushni ka suraagh,
Bhatak rahi hai khalaaon main zindagi meri,

Inhin khalaaon main reh jaaon ga kabhi kho kar,
Main janta hoon meri ham-nafas magar yunhi,

Kabhi kabhi mere dil main khayaal ata hai..

Watch Video



Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai..

Sahir Ludhianvi

Yeh mehlon, yeh takhton, yeh taajon ki duniya,
Yeh insaan ke dushman samaajon ki duniya,
Yeh daulat key bhookhay rawajon ki duniya,
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai,
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai,

Har ek jism ghayal, har ek rooh pyaasi,
Nigahon mein uljhan, dilon mein udaasi,
Yeh duniya hai ya aalam-e-badhawasi,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai,

Yahaan ik khilona hai insaan ki hasti,
Yeh basti hai murda paraston ki basti,
Yahaan to jeevan se hai maut sasti,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai,

Jawaani bhatakti hai badkaar ban kar,
Jawaan jism sajtey hein bazaar ban kar,
Yahaan pyaar hota hai byopaar ban kar,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai,

Yeh duniya jahaan aadmi kuch nahi hai,
Wafaa kuch nahi, dosti kuch nahi hai,
Yahaan pyaar ki qadar hi kuch nahi hai,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai,

Jala do isey, phoonk daalo yeh duniya,
Mere saamne se hattaa lo ye duniya,
Tumhari hai tum hi sambhalo yeh duniya,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai..

Watch Video



Zamaane ab to khush ho..

Sahir Ludhianvi

mohabbat tark ki

Mohabbat tark ki maine, girebaan sii liya maine,
Zamaane ab to khush ho zeher yeh bhi pii liya maine..



Phir na kijey meri gustaakh nigaahi ka gila..

Sahir Ludhianvi

pyar se dekha
Phir na kijey meri gustaakh nigaahi ka gila,
Dekhiye aap ne phir pyaar se dekha mujhe..



Kon rota hai kisi aur ki khaatir aye dost..

Sahir Ludhianvi

Kon rota hai kisi aur ki khaatir aye dost,
Sab ko apni hi kissi baat pe rona aaya..



Ab to daaman-e-dil chorr do bekaar umeedo..

Sahir Ludhianvi

Ab to daaman-e-dil chorr do bekaar umeedo,
Bohat dukh sehh liye mene bohat din jee liya mene..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Sahir Ludhianvi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari